HADEES#1: H. Abu Hurairah r.a bayan karte hain ki H.Umar r.a, H.Hassan
Bin Sabit r.a ke pas se guzre,
Halaanki wo Masjid me Sher padh rahe the,
H.Umar r.a ne ghoor kar unki taraf dekha,
H.Hassan ne kaha, Mai masjid me us waqt bhi sher padha karta tha, jab
Masjid me tumse afzal shaks maujud the, fir unhone Abu Hurairah ki taraf
mudkar kaha:
Mai tumko Allah ki qasam dekar sawal karta hu,
kya tune Nabi alaihesalam ko ye farmate hue suna hai ki,
Meri taraf se jawab do, Aye Allah! Roohul Quds se iski taeed farma.
Unhone kaha 'Haan'
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no,6334)
(Bukhari, H.no.753, 3212, 6152)
(Abu Dawood, 5013, 5014)
(Nasai, 715)
.
HADEES#2: H.Bir'a Bin Aazib r.a bayan karte hain ki maine Rasoolullah
alaihesalam ko H.Hassan Bin Sabit r.a ke liye ye farmate hue suna hai ki
In (Kafiro) ki huju karo, aur Jibrail tumhare sath hain.
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no.6337)
(Bukhari, H.no.3213-4123- 4124-6153)
.
HADEES#3: Arwah bayan karte hain ki H.Hassan Bin Sabit r.a ne, H.Ummul
Momineen Ayesha Siddiqa ke mutalliq bahot kuch kaha tha(Yani tohmat
lagane walo ke sath shamil the)
maine unko bura kaha, H. Ayesha r.a ne farmaya, Aye Batije! Usko chhod
do, kyunki wo Rasoolullah alaihesalam ki taraf se kafir kojawab dete
hain.
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no.6339)
.
HADEES#4: Masrooq kehte hain, Mai H.Ayesha r.a ke paas gaya, to H.Hassan
inke paas baithe apne ye Ash'aar suna rahe the:
حصان رزان ما تزن بريب
وتصبح غرثى من لحوم الغوافل
'Wo Pakeezah aqalmand hain, Unpar kisi aib ki tohmat nahi hai,
Wo Subah ghafilo ke gosht se bhuki uthti hain.'
yani kisiki gheebat nahi karti.
.
H.Ayesha ne inse farmaya:
lekin tum is tarah nahi the,
Masrooq ne kaha: aap inhe apne paas aane kikyu ijazat deti hain?
Jabki Allah Ta'aala ne farmaya hai:- 'Aur jisne in me se is bohtan me
sabse bada hissa liya, uske liye bada azab hai.'
H.Ayesha ne farmaya:
Andhe hone se zyada bada azab kaunsa hoga?
Hassan to Rasoolullah alaihesalam ki taraf se kuffar ko jawab dete the,
ya unki huju karte the.
(Muslim, Kitabl Fazail, H.no,6341)
(Bukhari, H.no.4146, 4755, 4756)
.
HADEES#5: H.Ayesha r.a bayan karti ain ki H.Hassan ne arz kiya:
Ya Rasoolullah, mujhe Abu Sufiyan ki Huju karne ki ijazat dijiye,
aapne farmaya:
uske sath meri jo qurabat(rishted ari) hai, uska kya karoge?
H.Hassan ne kaha: Us zaat ki qasam, jisne apko karamat di hai, Mai aapko
unse is tarah nikal lunga, jis tarah gundhe hue aate se baal nikal liya
jata hai,
fir H.Hassan ne ye ash'aar padhe:
وإن سنام المجد من آل هاشم
بنو بنت مخزوم ووالدك العبد
"Aale Hashim ki buzurgi ki kohan,
Binte makhzoom ki aulad hai, tera baap to ghulam tha."
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no.6343)
.
In Hadeeso se 2 masle sabit hain,
1: Nabi alaihesalam ki Naat padhna, bhi Sunnat-e-Sahab hai,
2: Naat-e-Paak me bad mazhabo ke khilaf jumle istemal karna bhi
Sunnat-e-Sahaba hai.
.
.
Tabhi to mere Sarkar AalaHazrat farmate hain,
.
''Suraj ulte paanv palte, Chaand ishaare se ho chaar,
Andhe Najdi dekh le Qudrat Rasoolullah ki''
No comments:
Post a Comment