ALLAH jo saari kainaat ka malik hai,uske marzi ke bina kuch nahi ho sakta.wo sub kuch jaan ne wala hai.usne jo insaan ke liye mazhab chuna hai,wo Islam hai,wo khud fermata hai ki,Beshak jo Allah ke nazdeek jo saccha mazhab hai wo Islam hai(Quran 3:19).
Islam ke saare shariath qayamat tak baandhe rahenge.Allah ne apne habeeb Sallallahu alihi wasallam ko shariath se judey hue saare Qanoon ka haq diya hai.Allah ne apne Rasool sallallahu alihi wasallam ko yeh haq diya hai ke aap shariyath ke Qanoon banayien. Is post me quran,sunnat aur Islam ke buzurgane deen se pata chalta hai ke Aap sallallahu alihi wasallam ne kis tarah shariath ke Qanoon banaye.Is Post ko Al-amnu wa al-‘Ula linaa’it al-Mustafa bidafi’ al- Balaa se liya gaya hai jo 1311 AH me Imam-e-AhleSunnat, Mujaddid-e-Dee-o-Millat Imam Ahmad Raza Khan al-Barelwi (rahimahullah) ne likha .
Yeh kitab Islam ke Qaide-qanoon aur Aap sallallahu alihi wasallam ke be-inteha muhabbat aur adab ka ek mashhoor misaal hai . Imam Ahmad Raza rehmatullahe ta'ala alaihe ne Qareeban 60 quran ke ayaatein aur RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ke 300 hadeesein jama kiye hue hain jo ye sabit karta hai ke Aap sallallahu alihi wasallam Allah ke karam se mushkilaat ko aasaan karne waale hain,madadgar hain aur Allah ki rehmath ko baantne waale hain.
Allah is choti si mehnat ko kubool farmaye,aameen!
Imam Qastalani Aap sallallahu alihi waallam ke khasais se likhte hain ki ,RASOOLALLAH sallallahu alihi wasallam jisko chahe usko shariath ke daire me muaf karne wale hain.
( Mawahib al-Laduniya, vol. 2, p.689)
1. Ispe
Imam Zarqani likhte hain ki aap sallallahu alihi wasallam ko shariath
ke mutaliq saare insanon ke liye hukumat mili hui hai.
( Zarqani ‘ala al-Mawahib, vol. 7, p.346)
2. Imam
Jalaluddin Suyuti apne Khasais al-Kubra ke ek sabak me likhte hain ki
Baaba ikhtisasihi sallallahu 'alaihi wasallam biannahu yakhussu man
shaa’a bima shaa’a minal ahkam (sabak: aap sallallahu alihi wasallam
apni marzi se jo chaho,jiske liye chaho qanoon bana sakte
hain).Shariath ke qanoon Aap sallallahu alihi wasllam ke hukumat se
chalte hain.aap jo chaho wo wajib aur jo chaho wo haram bana sakte
hain.aap apni marzi se jiske liye jo qanoon chaho,wo kharij kar sakte
hain. Imam Abdul Wahhab Sha’rani , Sayyidi Ali Khawas se likhte hain
ki “Imam Abu Hanifa ne wuzu ki niyyath ko fard nahi kaha aur namaze
witr ko wajib kyunki yeh kaam sunnat se sabit hain na ki quran se.
Imam
Abu Hanifa ne jo kaam Allah se fard kiye gayein hain aur jo RasoolAllah
sallallahu alaihi wasallam se, yeh batana chaha hai kyunki Allah se jo
kaam fard kiye gayein hain wo subse pehli ahmiyat rakhte hain.Allah ne
aap sallallahu alihi wasallm ko yeh haq diya hai ki aap jis kaam ko
chahe wo wajib bana dein.
(Mizan al-Kubra, Chapter of Wudu, vol. 1, p.83 )Neeche diye gaye kuch misaal hadeeson me se jis se yeh pata chalta hai ki aap sallallahu alihi wasallm ne Allah ke diye gaye is paak aur Mubarak haq ko kaise istemal kiya
1. 6
maah se kam umr waali bakri ki qurbani dena jayaz nahi magar aap
sallallahu alihi wasallam ne Abu Darda ko 6 maah se kam umr ki bakri ko
qurbaan karna jayaz thehraya.
(Sahih Bukhari, vol. 2, hadith 75 )
2. Makka
sharif ke ped paudhe kaatna haram hai lekin aap sallalluhu alihi
wasallm ne Abbas (radiALLAH Ta’ala anhu)ko unki iltija per unhein iski
ijazat di.
(Sahih Bukhari, vol. 2, hadith 432)
3. Shauhar
ke inteqal ke baad ,biwi ke uper yeh wajib hai ke wo iddath ke 4 mahine
10 din intezar karey lekin aap sallallahu alihi wasallm ne Asma’ bint
‘Umais ko is biddath ke dinon ko muaf kiya,unhein sirf 3 dinon ke
liye intezar karne ko kaha.
(Tabqat ibn Sa’d, vol. 5, p.46)
( Kanz al-‘Ummal, vol. 9, p.250)
(Nihaya, vol. 2, p.387, Musnad Ahmad, vol. 6, p.438)
4. Nikah
ke liye mahr kam se kam 10 dirham hai magar jab ek sahabi ne shikayat
ki ke unke paas mahr me deneke liye kuch bhi nahi to Aap sallallahu
alihi wasallm ne unhein yeh kaha ki wo apni biwi ko quran sikhaye,yehi
unka mehr hoga.
(Nasai vol3. Pg.312-313) (Saeed Bin Mansur fi Sunan vol1. Pg.176) (Ibn Hajar fil Asabah vol4.pg.198)
5. RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ne bina mehr ke nikah kiya.
(Abu Dawood)
6. RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ne apne sahabiyon ko qaza roze rakhne se muaf kiya jo rakhna wajib hote hain.
(Bukhari vol 3. H.157)
7. Resham
mardon ke liye haram hota hai magar aap sallallahu alihi wasallam ne
Zubair bin al-Awaam aur Abdur Rahman ibn ‘Awf ko iska pehnna halal
kiya.
(Bukhari vol 4. H.171)
8. Sona
mard ke liye haram hai magar Baraa’ bin Aazib ko iska pehnna halal
kar diya gaya aur aap sallallahu alihi wasallam ne apne haht Mubarak se
apne sahabiyon ke ungliyon me sone ki anguthi pehnayi.
(Muslim. Vol 2. Pg.179) (Musannaf Abdur Razzaq vol 6. Pg.65)
9. Loot
ka maal sirf jihadiyon ke liye hoti hai magar aap sallallahu alihi
wasallam ne ‘Usman ko bhi loot ka maaal diya jinhone jange badr me
hissa nahi liya tha.
(Bukhari vol4. Pg.359)
10. Rasoolallah
sallallahu alihi wasallam ne Umm ‘Atiya ko Nawha karne ki ijazat di
thi unke saath jo unke ghar walon ke liye kiye they unke mushkil dinon
me.
(Muslim vol 1. Pg.304)
11. ‘Asma bint Yazid ko bhi yehi Nawha karne ki ijazat di gayi.
(Tirmizi vol 2. Pg.166)
12. Khuzaima bin Sabit ki ek gawahi apni puri zindagi me aisi hoti ki goya do logon ne gawahi di ho.
(Bukhari vol 4. H.62)
(Kanzul Ummal vol 13. Pg.379)
(Musannaf Absur Razzaq vol 8. Pg.366)
(Tabarani fi Kabeer vol 22. Pg.316)
(Mustarak Hakim vol 2. Pg.16)
13. RasoolAllah
sallallahu alihi wasallam ne Abu Huzaifa ki biwi ko yeh ijazat di thi
ke wo apna doodh ek pyale me dalker apne bade bête saalim ko pila sake
jo godh liye hue they taki wo unke ghar me jee sake. Ummahat
al-Mu’mineen kehti hain ki Rasoolallah’sallallahu alihi wasallam ne
yeh ijazat sirf Saalim ke liye di aur baaki sub ke liye iski ijazat
nahi.
(Muslim vol 1. Pg.469)
14. RassolAllah
sallallahu alihi wasallam kehte hain ki agar mujhe beemar ka khayal
nahi hota to mai is namaz(namaze isha) ko aadhi raat me ada karne ke
liye kehta
(Abu Dawood vol 1. Pg.61)
(Ibn Majah Pg.50)
15. RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ne kaha ki agar mai kehta ki her saal Hajj fard hai,to wo her saal fard hota.
(Tirmizi vol 1. Pg.100)
(Ibn Majah pg.213.)
(Nasai vol 2. Pg.1)
16. ‘Ali
ko aap sallallahu alihi wasallam se ijazat mili ke wo janabat ki halat
me bhi masjid me dakhil ho jab ki yeh dusron ke liye haram hai.
(Tirmizi vol 2. Pg.214)
17. Suraqa
ko iski ijazat mili ke wo sone ke Kangan pehnein (jaise ke aap
sallallahu alihi wasallam ko Allah se ghaibi ilm mila tha) ‘Umar ne
Suraqa ke haathon me Kangan pehnaye .
(Dalailun Nabuwwa lil Baihaqi vol 6. Pg.364)
18. ‘Ali
ko aap sallallahu alihi wasallam se yeh hukm mila ke wo apne bête ko
yeh naam de ke aap sallallahu alihi wasallam aur unke kunniyat (jo Abul
Qasim ka naam tha) de jab ke donon naamon ko milakar rakhna yeh dusron
ke liye jayaz nahi.
(Tirmizi vol 2. Pg.111)
(Abu Dawood vol 2 pg.323)
(Kanzul Ummal vol 4 pg.29)
19. Hibban
bin Munqadh bin Umro Ansari ya unke walid Munqadh ne RasoolAllah
sallallahu alihi wasallam se yeh kaha ki unhein zyadatar saude aise
milte hain ki unhein un cheezon ki qeemat zyada deni padhti hai jo wo
khareedte hain.To aap sallallahu alihi wasallam ne unke liye yeh naya
qanoon banaya ke wo bechne walon ko yeh kahe ki RasoolAllah sallallahu
alihi wasallam ne unhein iski ijazat di hui hai ki wo sauda tay hone ke 3
din baad tak isey radd kar sakte hain.
(Sahih Muslim vol 2 pg.7)
20. ‘Asr ke baad koi namaz nahin
(Sahih Bukharri vol 3 h.no.215)
lekin
‘ulema (Imam suyuti and Imam zarqani in Sharah mawahib) likhte hain
ki RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ne apni biwi Aisha ko is ke
upar amal na karne ki ijazat di.
(Sahi Bukhari vol 3. H.no.325)
21. RasoolAllah
sallallahu alihi wasallam apne behen(cousin) Daba’a bint Zubair ibn
Abdul Muttalib se kaha ki wo hajj ke liye tayyari karein.To unhone kaha
ki ,unhein darr hai ki unki beemari unhein Hajj ke saare faraiz ada
karne se rokey.RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ne unhein tayyari
karne ke liye kaha aur yeh niyyat karne ke liye bhi kaha ki,Ya allah tum
jahan kahin bhi mujhe rokoge mai ihram se bahar aaongi.
(Tabarani Fil Kabeer vol 24. Pg.332-337)
Sunan
Nasaai me hai ki RasoolAllah sallallahu alihi wasallam kehte hain ki
tumhare liye chhut ko Allah ne kubool farmaya.Ulema likhte hain ki yeh
ijazat Khalid unke liye thi ,yeh dusron ke liye jayaz nahin.
22. RasoolAllah
sallallahu alihiwasallm ne ek aadmi ko Islam me dakhil hone ki ijazat
di jab ke usne kaha ki wo 5 waqt ki namazon me se sirf 2 waqt ki namaz
ada karega.
(Musnad Ahmed vol 5 pg.25)Imam Suyuti ne apne al-Mawdhuj al-Labeeb fi Khasais al-Habeeb me aise hi aur 9 waqiye bayan kiye hain
23. Khuzaima,
wo shaks the jinki gawahi ko Rasoolallah ne 2 gawahon ke barabar qaraar
diya tha, unhone kaha ki Rasoolallah (sallallahu 'alaihi wasallam) ne
Chamde ke mozon par masah karna musafireen ke liye 3 dinon tak jaez kiya
hai lekin Lekin agar saayil ne isse zyada ki kabhi mang ki to
Rasoolallah (sallallahu 'alaihi wasallam) ne isey badhakar 5 dinon tak
kar diya.
(Abu Dawood vol 1. Pg.21)
(Ibn Majah Pg.42)
(Tabarani fil Kabeer vol 1 pg.92)
(Sunan Baihaqi vol 1 pg.227)
(Hameedi fil Musnad vol 1. Pg.207)
(Musannaf Abdur Razzaq vol 1 Pg.203)
24. RasoolAllah
sallallahu alihi wasallam ne kaha ki agar mai her namaz ke liye miswaak
fard kar deta to meri ummat ke liye bahut mushkil ho jata.
(Sahih Bukhari vol 3. Pg.23 H.no.154)
(Sahih Muslim vol 1 pg.128)
(Nasai vol 1. Pg.63)
(Ibn Majah Pg.28)
(Muatta Imam Malik pg.50)
(Musnad Ahmed vol 2. Pg.211)
25. RasoolAllah
sallallahu alihi wasallam ne farmaya ke agar meri ummat ke liye yeh
mushkil nahi hota to mai her namaz ke liye unpe miswak aur itr fard kar
deta .
(Abu Naeem fi Kitab as Siwaak)
Yeh
saare 25 waqiye bayan karte hain ki Rasoolallah sallallahu alihi
wasallam ko Allah ne yeh haq diya hua hai ki aap shariath ke qanoon ko
badal sakein.Yeh sirf itna sabit nahin karta ki aap sallallahu alihi
wasallam ko itna haq hai ki aap shariath ke qanoon ko badal sakein magar
yeh bhi ke aap jo chahte usko halaal ya haram sakte they
26. RasoolAllah
sallallahu alihi wasallam ne apne sahabiyon se yeh pucha ki batao tum
zina ke bare me kya kehte ho ,to sahabiyon ne kaha ke yeh haram hai
kyunki Allah aur uske Rasool ne isko haram kaha hai qayamat tak.
(Musbad Ahmed vol 6 Pg.8)
(Tabarani Fil Kabeer vol 20 pg.211)
27. RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ne kaha ki maine yateemon aur aurton ke huqooq ko chheen na haram kaha hai.
(Hakim fil Mustadrak vol 1 pg.63)
(Kanzul Ummal vol 3. Pg.169)
28. Jabir
bin Abdullah kehte hain ki Rasoolallah sallallahu alihi wasallam ne
kaha ki Allah aur uske Rasool ne sharab,mare hue janwar,suar aur buton
ki ibadat karna haram thehraya hai.
(Bukhari vol 3 H.no.438)
(Sahih Muslim vol 1 Pg.31)
29. Rasoolallah
sallallahu alihi wasallam ne kaha ki nasheeli cheezon ko mat piya karo
jab ke maine saare nasheeli cheezon ko haram thehraya hai.
(Nasai vol 2 Pg.323)
(Kanzul Ummal vol 5. Pg.343)
30. Jo kuch bhi RasoolAllah sallallahu alihiwasallam ne haram kaha hai wo sub goya Allah ke taraf se bhi haram hain.
(Tirmizi vol 2. Pg.95)
(Abu Dawood vol 2 Pg.276)
(Ibn Majah pg.3)
(Musnad Ahmed vol 4. Pg.132)
(Darmi vol 1 pg.53)
31. Imam
Zarqani likhte hain ki RasoolAllah ko shariyat kehna isliye hai ki
RasoolAllah sallallahu alihi wasallam ne islam ke qanoon banayein.
( Zarqani ‘ala al-Mawahib, vol. 4, p.196)
(Al-Qur’an, Surah al-Hashr, verse 19)
.
.
.
ALLLAH
TA’AALA se dua hai ki hum sabko apne Pyare Aaqa sallallaho alaihe
wasallam ki khub khub ta’zeem aur tauqeer karne ki taufiq ata farmaye.
Aameen bin Nabiyyil Ummiyyi sallallaho alaihe wasallam.
Mawahib ul ladunya ka translation urdu mein available hai kya
ReplyDeleteAgar hoga to publication aur details mujhe dedo is no pr 9049318888
INSHA ALLAH BHAI
DeleteTRY KARUNGA
AGAR DASTYAB HOGI TO ZAROOOOOR MSG KARUNGA