Masla Hazir-o-Nazir # 01
Aam tassur ye paya jata hai k jis zaat ko Hazir-o-Nazir kaha jaye "us zaat ka her waqt her jaga hona zarori hai."
Lihaza Allah k liye Hazir-o-Nazir ka lafz istemal karne se ye aeteraz warid hota hai k "zaat-e-Elahi her waqt her jaga mojood hai to her jaga kehne per Us k liye simt, makan aur jism manna pare ga jo k kufr hai kyonk Allah jism, makan, simt se pak hai."
Agar mazkoora aqeeda na ho tub b (ghalt mana mashoor hone k sabab) Allah k liye lafz Hazir-o-Nazir ka itlaq durust nhi. Lekin ye aqeeda zarori hai k "Allah ilm-o-qudrat k hawale se her jaga mojood hai."
Masla Hazir-o-Nazir # 02
Arabi ki maroof-o-moattabar lughat "Mukhtar-us-sahah" aur "Al-misbah-ul-Muneer" wagera main "Hazir" ka mana "Sehn, Nazdeeki, Samne mojood hona" aur "Nazir" ka mana "Aankh ki siyahi, Dekhne wala" hain.
In dono k lughvi aetebar se lafz "Hazir-o-Nazir" ka itlaq Rub taala k shayan-e-shan ho he nhi sakta.
Isi liye Quran hakeem jesi jama kitab main Hazir-o-Nazir ka lafz istemal nhi howa. Lihaza Allah k mojood hone ki sifat k mutalliq Quran-o-Hadees main lafz "Shaheed" aur dekhne ki sifat k mutalliq lafz "Baseer" aaya hai. Jo bila-shuba Allah tala ki shan k mutabiq hai.
Masla Hazir-o-Nazir# 03
Kisi jaga per Hazir-o-Nazir hona Khaliq ki nhi makhlooq ki sifat hai.
Lihaza jahan tak makhlooq ki nazr ehata kare wahan tak wo Nazir hai aur jahan tak tasarruf ker k ja sake wahan tak Hazir hai. Isi bina per aaj tak Ummat ka Huzoor k Hazir-o-Nazir hone per ijma hai.
Rehmatullil a'lameen sallAllaho alaehi wasallam tamam ummation balke tamam aalam k ahwal per Nazir hain aur Aap apne jism-e-athar k sath Apne Roza-e-anwar main mojood hain per jub chahen bi-ataye-Elahi kahin b tasarruf farma sakte hain aur Aap Nooraniat aur Roohaniat k aetebar se her jaga mojood hain.
Masla Hazir-o-Nazir# 04
Rasool-e-Arabi sallAllaho alaehi wasallam k Hazir-o-Nazir hone k aqeede k hawale se maktaba-e-fikr Ahl-e-hadus aur Deo-band ka inkar raha hai. Aaiye dekhte hain is hawale se Quran-o-Hadees kia kehta hai. InshaAllah ab is hawale se silsile ka aghaz kia jaye ga.
Hazir Nazir MustafaDaleel# 01 Hissa 1/2
Jaan lo k tum sub main Rasoolullah tashreef farma hain.
Surah-e-Hujuraat, aayat 7.
Mazkoora aayat k alfaz se saaf zahir hai k Rasoolullah sallAllaho alaehi wasallam humare darmeyan mojood hain aur Aap ka mojood hona jism-e-zahiri k sath nhi balke nooraniat aur roohaniat k aetebar se hai. Albatta chahen to jism-athar k sath b tashreef la sakte hain. Ye aayat aqeeda-e-Hazir-o-Nazir per wazeh dalalat kerti hai.
Motarizeen is wazeh daleel per ye aeteraz warid kerte hain k is aayat main "tum sub" se sirf Sahaba muraad hain na k tamam adwar k Musalman.
Hazir Nazir Mustafa Daleel#01 Hissa 2/2
Aeteraz ka jawab hai k Namaz, Roza wagera ka b khitab zahiran Sahaba se hota tha lihaza un ka itlaq sirf Sahaba tak hona chahye.
Lekin aisa hergiz nhi kyonk Quran ki her baat her hukm aik khas dour tak mehdood nhi. Lihaza is aayat ka b hukm mehdood nhi.
Ager bil-farz maan b lia jaye k sirf Sahaba se khitab hai tub b aqeeda-e-Hazir-o-Nazir sabit hota hai kyonk Aaqa ki hayat-e-zahiri main b tamam Sahaba khidmat-e-aqdas main hazir na rehte thay lekin jub aayat main khitab kia gaya to sub se kia gaya. Lihaza Aaqa ka mojood hona un sub k sath sabit howa.
Hazir Nazir Mustafa Daleel# 02 Hissa# 01
Aur youn he hum ne tumhen sub ummaton per afzal kia k tum logo per gwah ho aur ye Rasool tumhare gwah.
Surah-e-Baqara, aayat 143.
Isi tarah Surah-e-Nisa aayat 41 hai.
Tafseer-e-Khazin, Dur-e-Manshoor wagera aur Tirmizi-o-Ibn-e-Maja ki Hadees ka khulasa hai k Qayamat main pichli ummaten Ambia per bohtan bandhen gi k Nabion ne un tak deen nhi pohnchaya tub Ambia ki tableegh-e-deen per ummat-e-Muhammadia gwahi de gi ye gwahi Aaqa k batane se ho gi. Is per aeteraz ho ga k unhon ne to Ambia ka zamana na paya tha tub Sarkar un tamam per gawahi dain ge.
Hazir Nazir Mustafa Daleel# 02 Hissa# 02
Maqam-e-ghor hai aqal walon k liye k yahan ilm-e-ghaib k sath aik aur masla hal ho gaya k Quran ne ummat aur Nabi dono ki gwahi ko bayan kia magar ummat ki gwahi ka moattabar na hona is waja se tha k ye gwahi suni hoi thi. Jub k Aaqa ki gwahi ka moattabar hona is baat ka wazeh ishara hai k Aap ne ba-noor-e-nabuwat tamam waqeat ko mulahiza kia tha yani Aap tamam aalam k ahwal per Hazir-o-Nazir hain.
Hazir Nazir Mustafa Daleel# 03 Hissa 1/2
Beshak Hum ne Tum ko bheja Hazir Nazir aur khush-khabri deta aur dar sunata aur Allah ki tarf us k hukm se bulata aur chmka dene wala aaftab.
Surah-e-Ahzaab, aayat 46.
Mazkoora aayat main lafz Shahid istemal howa jis ka tarjuma Hazir-o-Nazir kia gaya hai. Is pr pehle tafseeli kalaam kia ja chuka hai.
Magar is aayat main Aaqa ko Aaftab se b tashbih di gai hai. Suraj se tashbih dene ki aik hikmat guzishta silsila silsila-e-Nooraniat-e-Mustafa main Noor hone k hawale se bayan ki thi ab is ki aik hikmat Hazir-o-Nazir k hawale se mulahiza farmayen.
Hazir Nazir MustafaDaleel# 03 Hissa 2/2
Suraj se tashbih ki hikmat: Allah ta'ala ne Nabi-e-Rahmat sallAllaho alaehi wasallam ko Aaftab se tashbih de ker wazeh ker dia k ae logo! Ye na samajh lena k mera Mahboob Makka main ho ya Madina main Arsh per ho ya Farsh per to Us ki roohaniat aur nooraniat bus wahin tak hai balke jis tarah Suraj aik jagah hote howe tamam jihaton ko munawwar kerta hai usi tarah Mera Mahboob her jagah roohaniat k aetebar se mojood hai yani tamam cheezen Mere Mahboob ki zair-e-nazr hain.
Aur yahi Ahl-e-Sunnat ka Huzoor k her jagah Hazir-o-Nazir hone ka aqeeda hai.
.
.
.
.
Haazir O Naazir k saboot Aayaat ki roshni main
Haazir k Mainey (Meaning) hain saamney Mojood hona,
Yaani Gayab na hona,
Naazir k chand mainey (Meaning) hain,
Dekhney waala,
Aankh ka Til,
Nazar,
Naak ki Rag,
Aankh ka Paani,
Jahaan tak hamari Nazar kaam karey wahaan tak Naazir hain,
aur jis jagah tak hamari Dastaras ho k Tasarruf karlen, wahaan tak hum Haaazir hain,
Aasmaan tak Nazar kaam karti hai wahan tak hum Naazir yaani dekhney waaley hain, Magar wahaan hum Haaazir nahin, q k wahaan hamari Dastaras nahin, aur jis Hujrey ya ghar main hum Mojood hain, wahaan Haazir hain, q k wahaan tak Hamari Puhanch hai,
Aalam main HAAZIR O NAAZIR k Sharai Maeney (Meaning) yeh hain k Qoowat-e-Qudsiyah waala ek hi jagah reh kar tamaam Aalam ko apney Kaf-E-Dast ki tarah dekhey aur Door-o-Qareeb ki Aawaazen suney ya ek Aan main tamaam Aalam ki ser karey, aur Sadha kos par Haajatmandon ki Haajat Rawai karey, yeh Raftar sirf Roohaani ho ya jism Misaali k saath ho, ya isi jism se ho jo Qabar main Madfoon ya kisi Jagah Mojood hai, in sab Maeney ka Saboot Buzurgaaney Deen k liye Quran O Hadees O Aqwaal-E-Ulama se hai..
Aayat#1:
Tarjuma: " Ae GAIB ki khabren Bataney waaley beshak hum ne tum ko bheja Haazir O Naazir aur khushkhabri deta aur Dar sunata, aur ALLAH ki taraf us k hukum se bulaata aur chamka deney waala Aaftaab"..
(Parah: 22, Surah Al Ahzaab, Aayat: 46)
Shaahid k Maeney (Meaning) Gawah k bhi hosaktey hain aur Haazir O Naazir bhi,
Gawah ko shaahid is liye kehtey hain q k woh Mohqay pe Haazir tha,
HUZOOR (ALEH SALAAM) ko shaahid ya to is liye Farmaya gaya, k Aap Dunya main Aalim E GAIB ko dekh kar Gawahi de rahey hain, warna Saarey Ambiya Gawah the, ya is liye k Qayamat main tamaam Ambiya ki Aeni Gawahi denge, yeh Gawahi bager dekhey nahin hosakti, isi tarah Aap ka Mubashir Aur Nazeer aur Daa'i Ali-ULLAH hona hai, k saarey Peghambaron ne yeh kaam kiye, Magar sun k kiye, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne dekh kar kiye, isi liye Mairaaj bhi HUZOOR (ALEH SALAAM) ko huwi,
Siraaj Muneer Aftab ko kehtey hain, woh bhi Aalam main har jagah hota hai, ghar ghar main Mojood,
AAP (ALEH SALAAM) bhi har jagah mojood hain, Is Aayat k har Kalmey se HUZOOR (ALEH SALAM) ka Hazir O Nazir hona Saabit hai..
Aayat# 2:
Tarjuma: " Aur baat yun hi hai k hum ne tum ko sab Ummatiyon main afzal kiya, k tum logon par Gawah ho, aur yeh RASOOL tumharey Nigehbaan aur Gawah"..
(Parah#2, Surah Baqarah, Aayat# 143)
Aayat# 3:
Tarjuma: " To kesi hogi jab hum har Ummat se ek Gawah laaen aur Ae Mehboob tum ko un sab par Gawah O Nigehbaan bana kar laaen"..
(Parah#5, Surah#4, Aayat#41)
In Aayaton main ek Waqiyeh ki taraf Ishaara hai,
k Qayaamat k din degar Ambiya Karaam ki Ummaten Arz karengi, k hum tak TEray Peghambaron ne Teray Ehkaam na Puhnchaey they,
Ambiya E Karaam Arz karenge k Hum ne Ehkaaam Puhncha diye,
In ki Gawahi par Etaraaz hoga,
k tum ne in Peghambaron ka Zamana na paaya, tum Bager dekhay kesay Gawahi de rahey ho??,
yeh Arz karenge k hum se HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya tha,
tab HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Gawahi li jaegi,
AAP (ALEH SALAAM) 2 Gawahiyan denge,
ek to yeh k NABIYON ne Tableegh ki thi,
dusri yeh k yeh meri Ummat waaley Qaabil-E-Gawahi hain,
Pas Muqadma khatam,
Ambiya-E-Karaam k Haq main Degree,
Agar HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Guzishta Ambiya ki Tableegh aur aaendah Apni Ummat k Haalaat ko khud chasham-E-Haq been se Mulaahizah na farmaya tha, to AAP ki Gawahi par Jarah q na huwi?? jesay k Ummat ki Gawahi par Jarah huwi thi,
Maaloom huwa yeh Gawahi dekhi huwi thi, aur Ummat ne jo Gawahi di thi, woh sun k di hi, Is se AAP (ALEH SALAAM) ka Haazir O Naazir hona Saabit hai..
Aayat#4:
Tarjuma: " Beshak tumharey pass tashreef lae, tum main se woh RASOOL jin par tumhara Mushqat parna Giraa'n hai"..
(Parah#11, Surah#9, Aayat#128)
Is Aayat se 3 tarah HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Haazir O Naazir saabit hai,
ek yeh k Aayat ki Arabi main hai (Jaa'Qum), jis se muraad hai k yeh baat Qayamat tak k Musalmaanon se khitaab ki gai hai, k tum sab k Pass HUZOOR (ALEH SALAAM) tashreeef lae, jis se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAM)har Musalmaan k pass hain, aur Musalmaan to Aalam main har Jagah hain, aur yaani phir HUZOOR (ALEH SALAAM) bhi har Jgah mojood huwe..
Dusra yeh Farmaya gaya Aayat ki Arabi main ( Min'An'Fusi'Qum ), Yaani, Tumhari Nafson main se hain, yaani In ka Aana tum main aesa hai, jesay jaan ka Qaalib main aana, k Qaalib ki Rag Rag aur Rongtey main Mojood auur har ek se Khabar daar rehti hai, aesay hi HUZOOR (ALEH SALAAM) har ek k Fa'el se Khabar daar hain..
Acha aksar log kehtey hain k Upar waali baat ka matlab yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) tum main se ek Insaaan hain, to janaab agar yahaan yeh Muraad hoti to sirf (Min'Qum) bhi kaafi tha, par yahaan ALLAH TA'ALA ne Irshaad farmaya, (Min'An'Fusi'Qum)...
Teesra yeh k Farmaya gaya, In par tumhara Mushqat main parna Giraa'n hai, jis se Maaloom huwa, k hamari Raahat O Takleef ki har Waqt HUZOOR (ALEH SALAAM) ko khabar hai, tab hi to hamari Takleef se Qalb Mubarak ko takleef hoti hai, warna agar hmaari khabar hi na ho to Takleeef kesi, Yeh baat bhi Dar-asal pichli baat ka bayaan hi hai, k jis tarah jism k kisi Hissay ko dukh ho to ROOH ko takleeef hoti hai, isi tarah tum ko dukh dard ho to AAQA ko Giraani, is Karam k Qurbaan (Sallalaho Alehe Wassallam)..
Aayat#5:
Tarjuma: " Aur agar jab woh apni jaanon par Zulum karen to Ae Mehboob tumharey Huzoor haazir hon, phir ALLAH se Maafi chahen aur RASOOL in ki Shafa'at farma den, to Zarur ALLAH ko bohat Tobah karney waala Meherbaan paaen"..
(Parah#5, Surah#4, Aayat#64)
Is se Maaloom huwa k Gunahgaaron ki Bakhsish ki sabeel sirf yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah main Haazir ho kar Shifa'at maangen, aur HUZOOR Karam Kareemaana se Shifaa'at farma den, aur is ka yeh to Matlab hosakta nahin k Madiney PAk main Haazir hon, warna phir hum Faqeer Pardesi Gunahgaaron ki Magfirat ki kiya Sabeel hogi, aur Maaldaar bhi Umar main ek Do Baar Puhanchtey hain, aur Gunah din raat kartey hain, Lihaazah Takleef Ma Foq'ul'Taaqat hogi, Lihaaza Matlab yeh huwa, k tumharey pass mojood hain, tum Gayab ho, to tum bhi Haazir hojao, k Mut'tawwaj'jah hojao..
Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) har jagah Haazir hain..
Aayat#:6:
Tarjuma: " Aur hum ne tum ko bheja magar Rehmat Saarey jahaan k liye"..
(Surah Al Hajj, Aayat#107)
Phir farmaata hai:
Tarjuma: " Aur meri Rehmat har cheez ko gheray hai "..
(Parah#9, Surah#7, Aayat#33)
Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) jahaanon k liye Rehmat hain, aur Rehmat Jahaanon ko Gheray huwe hain, Lihaazah HUZOOR (ALEH SALAM) Jahaanon ko Gheray huwey hain, Khayaal rahey, RAB ki shaan hai RAB'BUL'AALAMEEN, HABEEB ki Shaan hai REHMAT'Ul'LIL'AALAMEEN, Maaloom huwa k ALLAH jis ka RAB hai, HUZOOR (ALEH SALAM) us k liye REHMAT hain..
Aayat#7:
Tarjuma: " Aur ALLAH ka kaam nahin k Azaab karey, jab tak Ae Mehboob tum in main Tashreef farma ho "..
(Parah#9, Surah#8, Aayat#33)
Yaani Azaab-E-ILAAHI is liye nahin aata k in main AAP (ALEH SALAM) Mojood hain, aur Aam Azaab to Qayaamt tak kisi jagah bhi na Aawey ga, is se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) Qayaamat tak har jagah Mojood hain, Balkey ROOH-Ul-Bayaan main Faramya hai k HUZOOR (ALEH SALAM) Har Saeed O Shaki k saath rehtey hain..
Aayat#8:
Tarjuma: " Jaan lo tum sab main RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef farma hain "..
(Parah#26, Surah#49, Aayat#7)
Yeh khitaab tamaam Sahaba-E-Karaam se kiya gaya tha, aur Sahaba-E-Karaam to Mukhtalif jagah rehtey the, Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) sab jagah in k Pass the..
Aayat#9:
Tarjuma: " Aur isi tarah hum Ibrahim ko dihkatey hain, Saari Baadshahi Aasmanon aur Zameenon ki"
(Parah#7, Surah#6, Aayat#75)
Is se Maaloom huwa k Hazrat Ibrahim (Aleh Salam) ko Rab ne tamaam Aalam Ba Chashm-E-Sir (Yaani Sir ki aankhon se)Mulaahizah kara diya, HUZOOR (ALEH SALAM) ka Darjah in se Aala hai, Lihaazah Zauri hai k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne bhi Aalam ko Mushaahidah farmaya ho, is Aayat ki Tehkeek Behes-E-ILM-E-GAIB main Guzar chuki..
Aayat#10:
Tarjuma: " Ae Mehboob kiya tum ne na dekha k tumharey RAB ne in Haathi waalon ka kiya haal kiya"..
(Parah#30, Surah Feel, Aayat#1)
Aayat#11:
Tarjuma: "Kiya tum ne na dekha k tumharey RAB ne Qom-E-Aad k saath kiya kiya"..
(Parah#30, Surah#9,Aayat#6)
Qom-E-Aad aur Ashaab-E-Feel ka Waqiyah Wilaadat-E-PAK se Pehlay ka hai,
magar Farmaya jaata hai, Kiya Aap ne na dekha, yaani dekha hai,
agar koi kahey k QURA'AN-E-KAREEM Kufaar k baarey main Farmaata hai:
Tarjuma: " Kiya Unhon ne yeh na dekha k hum ne in se Pehlay kitni Qoowaten Halaak karden"..
(Parah#7, Surah Al-Ina'am, Aayat#6)
Kuffaar ne apney se Pehlay Kuffaar ko Halaak hotey na dekha tha.. Magar Farmaya gaya k kiya na dekha Inhon ne,
to is ka Jawaab yeh hai k is Aayat main in Kaffaar k Ujrey huwe Mulk aur Tabah Shudah Makaanaat ka Dekhna Muraad hai, aur Chunkay Kuffaar-E-MAKKAH apney Safaron main in Muqaamaat se Guzartey the, is Liye Farmaya Gaya, k yeh log in Cheezon ko dekh kar Ibrat q nahin pakartey, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne na to Zaahir main Duniyah ki Siyaahat farmai aur na Qoam-E-Aad wagera k Ujrey huwe Mulkon ko Bazaahir dekha, is liye Maanna hoga k yahaan NOOR-E-NABUWWAT se dekhna Muraad hai..
QURA'AN-E-KAREEM Jagah Jagah Az Farmaata hai,
(Parah#1, Surah#2, Aayat#30), Jab k AAP k RAB ne Farishton se kaha..
is tarah ek aur jagah
(Parah#1, Surah#2, Aayat#67) Jab k Moosa (aleh Salaam) ne Apni Qoam se kaha
wagera wagera..
is jagah Muffassireen Mehzoof nikaaltey hain, az kar, Yaani is Waqiyey ko yaad karo, aur yaad woh cheez dilai jaati hai, jo pehley se dekhi bhaali ho, udhar tawajjah na ho, jis se Maaloom hota hai k tamaam Guzishta Waqi'aat HUZOOR (ALEH SALAAM) k Dekhey huwey hain.. Rooh-Ul-Bayaan ne Likha hai k Hazrat Aadam (Aleh Salaam) k Saarey Waqi'yaat HUZOOR (ALEH SALAAM) Mushaahidah Farma rahey the, is ka Zikar Aagey Aata hai, agar koi kahey k Bani Israel se bhi Khitaab hai (Parah#1, Surah#2, Aayat#49) Us Waqt ko yaad karo, jab k hum ne tum ko Aal-E-Fir'On se nijaat di thi, HUZOOR (ALEH SALAAM) k Zamaaney k Yahoodi us Zamaaney main kahaan the, Magar Muffassireen yahaan bhi Az Kar O Mehzoof nikaaltey hain, jawaab diya jaega k na Bani Israel ko Taareekhi Waaqiyaat maaloom the, Kutub Tawaareekh Parhi thin, is taraf un ko Mut'taw'waj'jah (Muttawwajah) kiya gaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne na kisi Kitab se Parha na Kutub Tawaaareekh ka Muta'alla Farmaya, aur na kisi Moorkh ki sohbat main rahey, na Taaleem Yaafta Qoam main Parwarish Paai, ab AAP ko Behez-Noor-E-NABUWWAT Alm ka Zariyah kiya tha..
.
.
.
***HAZIR-O-NAZIR PE AITRAZAT KE JAWABAAT***
:
:
***Hazir Nazir ***
Hazir Nazir
@01
Zehan Ko Haazir Kar Ke
Hazir Nazir K Ma'na
Aur Is Hawale Se
Ahl e Sunnat Ka Aqeeda Samjhen
#HAZIR K Lugwi Ma'na Samney Mojud HonaYa'ni Gaaib Na Hona
# NAZIR K Ma'na
Dekhney Wala
(Muntahul Adab
AlMisbahul Munir
Qamoosul Lugaat)
#Jahan Tk Hamari Nazar Kaam Karey Wahan Tak Hum Nazir
Aur Jis Jagah Tk Hamari Dastarus Ho K Tasarruf Kr Len Wahan Tk Hum Hazir, Aasman Tk Nazar Kaam Karti Hy Wahan Tk Hum Nazir Magar Dastarus Nhi IsLye Hazir Nhi Hazir Nazir
@02
Jis Jagah Aur Maqam Pr Hum Mojud Hen Wahan Hazir Hen K Is Jagah Humari Puhanch Hy #Aalam Me Hazir Nazir Hone K Shar'yi Ma'na Ye Hen K Qudrat e Qudsiya Wala ALLAH Ke Izn Se 1 He Jagah Reh Kr Tamam Aalam Ko Apne Kaff e Dast Ki Tarah Dekhey. Aur Door o Qareeb Ki Aawazen Suney.
Ya 1 Aan Me Tamam Aalam Ki Sair Kary.
Aur Sad'ha Kos Pe Hajat Mandon Ki Hajat Rawai Karey.
Ye Raftar Khuwa Ruhani Ho Ya Jism e Misaali K Sath.
Suboot Mulahiza Hon>>
Hazir Nazir
@03
Dalail Se Qabal
CHALENGE
2 Questions
Q.1 Poorey Qur'an My Koi Aayet Aisi Bataen
Jis My Rabb Ki Sifat Hazir o Nazir Hona Bayan Ki Gayi Ho?
Haan Shahid, Mojud, Muheet, Aleem, BaseerTo Mil Jaegi
ALLAH ki Zaat Jagah Aur Makaan Se Pak Hy
Khuda Mojud Hey Magar Bagair Jagah Ke,
Aur Uska Ilm o Qudrat Aalam Ko Gheray Huey Hey
Q.2 Hamara Aqeeda Hy Ke ALLAH ki Sifat
Zaati, Qadeem, Wajib,
Na Mitnay Wali Aur Gair Makhluq
Jab K Nabi Ki Sifat Ataee, Haadis, Mumkin, Faani Aur Makhlooq
#Donu Baaton Ki Mojudgi Mey Makhluq Ka Hazir Nazir Hona Qur'an o Hadis Ki Roshni My Kaisay Kufr o Shirk Hoga? Hazir Nazir
@04
#Dalaail#
1>
"Aur Baat Yun Hi Hy Ke Hum Ne Tumko Sb Ummaton My Afzal Kya K Tum Logon Pr Gawah Ho Aur Ye Rasul Tumhare Nigehban Aur Gawah"
(Al Baqarah Ayat#143)
2>
"To Kesi Hogi Jb Har Ummat Sy 1 Gawah Laen Aur
Aye Mehboob Tumko In Sab Pr Gawah o Nigehban Bana Kr Laen"
(Al Nisa Ayat#41)
Hazir Nazir
@05
Mazkura Donu Aayaat My
Huzoor Ko Shahid Farmaya Gaya
"Shahid"
Shuhud w Shahada Se Makhuz Hy
Jiske Ma'ana
Basar ya Basarat Ke Sath
Mushahida Farmaty Huey
Hazir Hona
Aur Gawahi Dena
(Mufridat P#269)
Shahid Yani Hazir Hona
Wo Zaat Jiske Ilm Sy Koi Cheez Ghaaib Na Ho
(Misbahul Lughat P#426)
Shaheeda Ka Ma'ana
HAZIR NAZIR hy
(Roohul Bayan V4 P#639)
Shaheeda Murad
Hazir Nazir
(Bedawi)
Janazey ki Dua e Maasura My Shahid Ke Ma'ana HAZIR Par Sab Muttafiq Shaheed Yani Hazir
(Mishkat #199
Tehat Ismuhu Ta'ala)
Ashraf Ali Thanwi Ne
Sura e Ehzab Ayet #55
My Tarjuma "Hazir Hona"
Hi Likh Dya.
Hazir Nazir
@06
"Shahid"
Ke Ma'ana Samajhny Ke Baad
Ye Suwal Paida Hota Hy
Ke Huzur Kis Par Hazir Nazir Hen?
Talkhis,
Mukhtasarul Ma'ani, Mutawwal,
Roohul Bayan,
Ruhul Ma'ani,
Khazin,
Azizi,
Bedawi,
Jamal,
Mazhari,
Ibne Kaseer,
Sawi,
Zarqani,
Durre Mansur
Aur
Tafseere Usmani (Dewbandi)
Sabka Khulasa w Nichor
Ye Ke
"Huzoor In Sab
(Tamam Makhlooq)
Py Hazir Nazir Hen
Jinki Taraf Rasul Bana K Bhejy Gaye
Aur Unke Ahwal ki Nigehbani, Aa'mal Ka Mushahida Farmaty Hen
Aur
Inke Gawah Banty Hen
Un Tamam Aqaid o
Aamal e Hasana w Qabiha Py Jo Unsy Sadir Huey
Or Qayamat My Is Shahadat Ko Ada Farmaengy Jo
Maqbul Hogi
Hazir Nazir
@07
3>
"Aye Ghaib Ki Khabren Batany Waley (Nabi)!
Beshak Hum Ne Aapko Bheja Hazir o Nazir (Shahid) Aur Khush Khabri Deta Aur Darr Sunata
Aur ALLAH Ki Taraf Iske Hukum Sy Bulata
Aur CHAMKA Deny WALA AFTAB"
(Ahzaab Ayat#46)
Is Aayat My Nabi Paak Ko
Siraj o Munir
Yani Chamka Deny Wala SOORAJ Kaha Gaya
Yani Jis Tarah
Sooraj Apny NOOR Se Purey Aalam Ko Roshan Kye Huey Hy Isi Tarah Huzoor Bhi Apny NOOR Se Tamam Jahano Ko Munawwar Kye Huey Hen. Hazir Nazir
@08
4>
"Beshak Tumhary Paas Tashrif Laye Tum MySe Wo Rasool
Jin Par Tumhara Mushaqqat My Parna Giran Hy"
(Touba Ayat#128)
Is Aayat My
3 Tarah Sy
Huzur Ka Hazir Nazir Hona Sabit,
ChunKe Qayamat Tak Ke Musalmano Se Khitaab Hy
Pas Huzur Qayamat Tak Ke
Har Musalman Ke Paas Hen.
Tumhary Nafson My Se Hen
Yani Har Musalman
Ke Har Feal Sy Baa Khabar Hen.
"Mushaqqat My Parna Giraan Hy"
Ya'ni Tumhari
Raahat o Taklif Ki Har Waqt Huzur Ko Khabar Hy.
Hazir Nazir
@09
5>
"Aur Agar Jb Wo Apni
Janon Par Zulm Karen
To Aye Mehboob Tumhary Huzur Hazir Hon
Phir ALLAH Sy Muafi Chahen
Aur Rasul Inki
Shafa'at Farma Den
To Zarur ALLAH Ko Buhat
Touba Qubool Karny Wala Meharban Payen"
(Nisa Ayat#64)
Murad
Ye Ke Gunahgaron Ki Bakhshish
Ki Sabeel K Lye Huzur To Tumhary Paas Mojud Hen,
Tum Inki Taraf Mutawajjuh
Ho Ke Shafa'at Mango To
Huzur Karimana Shafa'at
Farmaty Hen.
Malum Hua Ke
Huzur Karim Har Jagah
Hazir Hen
Hazir Nazir
@10
6>
"Aur Hum Ne Tumko Na Bheja
Magar Rehmat Sarey Jahan Ke Lye"
(Anbiya Ayat#107)
Malum Hua Ke Huzur Jahanon Ke Lye Rehmat Hen
Aur Rabb Ka Farman;
"Meri Rehmet Har Cheez Ko Ghearey Hey"
(A'araf Ayat#156)
Lihaza Huzur Jahanon Ko Muheet Hen
ALLAH Jiska Rabb Hy,
Huzur Iske Lye Rehmet Hen
Hazir Nazir
@11
7>
"Aur ALLAH Ka Kaam Nahi Ke Azaab Kary Jab Tak Aye Mehboob Tum In My Tashrif Farma Ho" (Anfal Ayat#33)
Murad Ye Ke Huzur Mojud Hen
Is Lye Qayamat Tak Azaab e Aam Na Aayega.
Hazir Nazir
8>
"Jaan Lo Ke Tum Sab My Rasoolullah Tashrif Farma Hen"
(Hujrat Ayat#7)
Goya Huzur Hamary Paas Hen
9>
"Aur Isi Tarah Hum
IBRAHIM Ko Dikhaty Hen
Saari Badshahi Aasmanon
Aur Zameen Ki"
(An'aam Ayat#75)
Hazrat Ibrahim Ne Tamam Aalam Sar Ki Aankhon Sy Mulahiza Kya
Hazir Nazir
@12
10>
"Aye Mehboob
Tum Ne Na Dekha Ke Tumhary Rabb Ne In Haathi Walon Ka Kya Haal Kya" (Feel Ayat#1)
11>
"Kya Tum Ne Na Dekha Ke Tumhary Rabb Ne Qoum e Aad Ke Sath Kya Kya" (Fajar Ayat#6)
12>
"Kya Inhon Ne Ye Na Dekha Ke Hum Ne In Sy Pehly Kitni Qoumen Halak Kr Deen" (An'aam Ayat#6)
Huzur Karim Ne Zahir My Dunya Ki Sayahet Na Farmayi Thi
In Ayaat My
Noor e Nubuwwat Sy
Guzishta Dour Ke Kuffar
Or Un Py Aany Waly Azabat Ka Dekhna Murad Hy
Hazir Nazir
@13
13>
"Aur Yaad Karo Jb Ke Aapke Rabb Ne Farishton Sy Kaha"
(Baqara Ayat#30)
14>
"Aur Yaad Karo Jb Moosa Ne Apni Qoum Se Kaha "
(Baqara Ayat#67)
Murad Ye Ke Tamam
Guzishta Waqiaat Huzur Ke Dekhy Hen
15>
"Nabi Musalmanon Se Inki Janon Ke Zyada Qareeb Hen"
(Ahzab Ayet#6)
Sb Sy Zyada Qareeb Hum Hamari Jaan aur Jaan Sy Bi Qarib Nabi AlaihisSalam Hen Qasim Nanotwi
Tehzeerun Naas P#10
My Likhta Hy;
Is Ayat My
"Aoula" Sy Murad
Qareeb Tar Hy
Hazir Nazir
@14
16>
"Aur Bola Wo Jiske Paas Kitab Ka Elm Tha,
Ke My Takht e Bilqees Apke Paas Ley Aaunga, Apke Palak Jhapakny Se Pehly" (Namal Ayat#40)
Hazrat Sulaiman Alahissalam
Ke Wazir
Asif Bin Barkhya
(Kitab Ke Aalim Aur Wali)
Mulk e Shaam My Hen
Aur Bilqees Ka Takht Yaman My.
Aur Wo Foran Laney Ki Khabar Dy Rahy Hen.
Sakht Pehron My Mojud Wo Wazani Takht Wahan Jaye Bagair Lana Na Mumkin Hy Lihaza
Malum Hua Wo Is Takht Ko Yahan Sy Dekh Rahy Hen
Hazir Nazir
@15
17>
"To (Moosa Ne) Hamary Bandon My Sy Ek Banda (Khizar) Ko Paaya,
Jisey Hum Ne Apny Paas Sy Rehmat Di
Aur Isy Apna Ilm e Ladunni Ataa Kya"
(Kahaf Ayat#65)
Jab Khizar Ilme Ladunni Sy Makhlooq Ka IlmRakhty Hen To Khizar Ke Bi Aaqa Kya Kuch Ilm Na Rakhty Hongy? 18>
"Essa Ne Farmaya Ke
My Tumhe Khabar Deta Hun
Iski Jo Tum Apny Gharon My Khaaty Ho
Aur Jama Karty Ho"
(Aale Imran Ayat#49)
Hazrat Essa Ki
Quwwat e Nazar Ki Shaan Bayan Hui
Hazir Nazir
@16
19>
"Yousuf Ne Kaha Jo Khana Tumhe Mila Karta Hy Wo Tumhary Paas Na Aany Paega Ke My Uski Ta'beer Us Sy Pehly Tumhe Bata Dunga" (Yousuf Ayat#37)
Hazrat Yousuf Ka Guzishta w Ayenda Ke Poshida Ki Khaber Dena
20>
"Wo Iblees Aur Iska Qabila Tum Sabko Dekhtay Hen
Jahan Sy Tum Inko Nahi Dekhty"
(Aaraf Ayat#27)
21>
"Tum Sabko Mout Ka Farishta Mout Dega Jo Tum Par Muqarrar Kya Gaya Hy" (Sajda Ayat#4)
Shaitan Aur Uski Zurriyat Ko (Gumrah Karny Ke Lye),
Malakul Mout Ko
(Jaan Nikalny Ke Lye)
Ye Taaqat Di Ke Wo Har Jaandar Ko Dekh Letey Hen
To Anbiya Ko Hidayet Ke Lye Aalam Ki Khabar Hona Lazim
Hazir Nazir
@17
22>
"Beshak Wo Banda Sun'ny Wala Dekhny Wala Hy"
(Asra Ayat#1)
Sabit Hua Huzoor Ki Sifat Sami o Baseer Hy
23>
"Ek Chiyunti Boli,
Aye Chiyuntiyon!
Apny Ghar My Chali Jao,
Tumhen Kuchal Na Dey Suleman w Inka Lashkar BeKhabri My,
To Suleman Is Chiyunti Ki Aawaz Sun Kar Muskuraye"
(Namal Ayat#18,19)
Hazrat Suleman Ne Meelon Faasly Se Chiyuntiyon Ko Dekha w Inki Aawaz Suni *Ye Chand Aayaat Theen
Jin Par
Fuqah, Muhaddisin w Mufassirin Ke Beshumar Aqwaal Dalaalat Karty Hen Ke
AAQA HAZIR NAZIR Hen
Ye Khalf w Salf Ka
Muttafiqa w Musallama
Aqeeda Hy
Ab Aaiyye!
Chand AHAADEES Mulahiza Farmayen
Hazir Nazir
@18
24>
"Nakeerain Mayyat Sy Poochty Hen
Tum In (Huzur Karim)
Ke Barey My Kya Kehty Ho?"
(Muslim V#4 H#2870)
Ye Qabar (Chahey Ek Waqt My Hazaron Murday Dafan Hon) My Zahir Zuhoor Apki Zaat Ko Karty Hen Is Tarah Ke Huzoor Ka
Wujood e Misaali
Mojud Kar Daity Hen
(Ashi'atul Lam'aat V#1 P#115)
Hazir Nazir
@19
25>
"Huzoor Karim Ne
Zaid, Jaffer
Or Ibne Rawaha
Ki Mout Sy Qabl
Inki Mout Ki Khabar
Logoun Ko Dy Kar Farmaya
Ab Jhanda ALLAH Ki Talwar
Khalid Bin Waleed
Ne Lya
Ta Aan Ke ALLAH Ne Inko Fatah Dy Di"
(Bukhari V#2 P#611)
Mota Jo Madina Sy Koson Door
Wahan K Halaat
Aaqa Madine Sy Dekhty Hen
Hazir Nazir
@20
26>
"Ek Shab Huzoor Alaihissalatuwassalam Ghabraye Huwey Baidaar Huwey, Farmaya; Subhanallah,
Is Raat My Kis Qadar Khazaney
Aur Kis Qadar Fitney Utary Gaye Hen"
(Miskhat -
Babut Tehreed Ala Qayamil Lail P#109)
Malum Huwa Ayenda Honey Waley Fitnon Ko Bachashm Mulahiza Farma Rahey Hen. Hazir Nazir
@21
27>
"ALLAH Ki Qasam,
Mujh Par Tumhara
Khushu o Ruku Poshida Nahi. Mey Tumhen Apni Pusht Sy Bhi Dekhta Hun" (Bukhari V1 Kitabus Salaat)
29>
"Tumhari Mulaqat Ki Jagah Houz e Kousar Hy,
May Isko Isi Jagah Sey Dekh Raha Hun"
(Mishkat -
Baab Wafatun Nabi P#547)
Ye Hen HAZiR NAZiR Ke Ma'na.
@22
29>
"Huzoor Ne Ek Pahari Par Khary Hokar Sahaba Sy Pucha,
Ke My Jo Kuch Dekh Raha Hun Kya Tum Bhi Dekhtey Ho?
Arz Ki;
Nahi
Farmaya;
May Tumhary Gharon My Fitney Girtay Dekhta Hun"
(Mishkat -
Kitabul Fitan P#462)
30>
"ALLAH Ta'ala Ny Apna Daste Qudrat Mery Seenay Par Rakha Jiski Thandak Apny Seeney My Mehsoos Ki, Pas My Ne Un Tamam Cheezon Ko Jaan Lya
Jo Zameen o Aasman My Hen"
(Tirmizi -
Kitabut Tafsir H#3246)
Ye Hadees Hasan Sahi Hy
Hazir Nazir
@23
31>
"ALLAH Ta'ala Ney Mery Saamny Saari Dunya Ko Paish Farma Dya,
Pas Mey Is Dunya Ko
Aur Jo Kuch Is Mey
Qayamat Tak Hony Wala Hy
Is Tarah Wazeh Dekh Raha Hun
Jesey Apny Haath Ki Hatheli Ko Dekhta Hun"
(Khasaisul Kubra V2 P#185)
(Mawahibul Ladunya V3 P#95)
(Majmuaz Zawaid V8 P#290)
(Kanzul Ummal V11 P#378-420)
(Jam'ul Jawame'a H#4849)
(Jaami ul Kabeer H#4849)
(Sharh Allama Zurqani V7
P#204)
(At Targheeb Wat Tarheeb
V2 P#211)
Hazir Nazir
@24
"ALLAH Ney Merey Lye Zameen Samait Di,
Pas Mey Ne Zameen Ke Mashriqon Aur Magribon Ko Dekh Lya"
(Muslim H#2889)
(Tirmizi H#2182)
(Ibne Maaja H#3952)
(Abu Dawood H#4252)
(Nisaai H#1637)
33>
"Hum Ko Huzoor Ny Is Haal Par Chor Ke koi Parinda Apnay Par Bhi Nahi Hilata
Magar Iska Humko Ilm Bata Dya"
(Musnad Ahmed V5 H#21399)
(Al Moajjam Kabir
Lit Tibrani V2 H#1647)
(Masnad Abu Ya'la V9 H#5109)
(Majmual Zawaid V8 P#264)
Hazir Nazir
@25
34>
"Huzoor Karim 2 Qabron Par Guzrey,
Jin Par Azaab Ho Raha Tha, Farmaya;
In 2 Shakhson Ko Azaab Ho Raha Hy,
In My Sy 1 Paishab Ke Cheenton Sy Na Bachta,
Dusra Chugli Kya Karta Tha.
Phir Aap Ny 1 Tarr Shaakh Lekar Uske 2 Tukrey Kar Ke Donu Qabar Par 1,1 Ghaar Dya
Aur Farmaya;
Jab Tak Ye Tukrey Khushk Na Hongy
Donu Ke Azaab My Kami Ki Jayegi"
(Bukhari V1 P#211)
(Muslim V1 P#141)
35>
"Huzoor Ne Khaiber Ke Din Farmaya Ke My Kal Aisey Shakhs Ko Jhanda Dunga
Jo ALLAH Aur Iske Rasool Ka Mehboob Hy
Aur Jiske Haath Par ALLAH Khaiber Fatah Farma Dega"
(Bukhari V3 H#3499)
(Muslim V4 H#2407)
Hazir Nazir
@26
36>
"Huzoor Karim Ne Farmaya;
Ye Fulaan Shakhs Ke Girnay Ki Jagah Hy.
Aur Apny Dast Mubarak Ko Idhar Udhar Zameen Par Rakhty They.
Raawi Ne Kaha Ke Maqtooleen My Sy Koi Bhi
Huzur AlaihisSalam Ke Haath Ki Jaga Sy Zarra Barabar Bhi Na Hata"
(Muslim V2 -
Kitabul Jihad - Baab Ghazwa e Badar)
Hazir Nazir
@27
37>
"Nahi Chora Huzoor Ne Kisi Fitna Chalany Waly Ko
Dunya Ke Khatam Hony Tak Jinki Ta'dad
300 Sy Zyada Tk Puhnchy Gi Magar Humko Iska Name,
Baap Ka Naam,
Iske Qabiley Ka Naam Bata Dya"
(Mishkat - Babul Fitan P#463)
38>
"Hum In (Dajjal Sy Jihad Ki Tayyari Karny Walon)
Ke Naam Inke Baap Dadaon Ke Naam,
Inke Ghoron Ke Rang Tak Pehchanty Hen.
Wo Roo e Zamin Par Behtreen Suwar Hen"
(Muslim -
Kitabul Fitan V2 P#392)
(Musnad e Ahmed V1 P#385)
Hazir Nazir
@28
39>
"Shikari Ne Kaha My Ne Aaj
Ki Tarah Kabhi Na Dekha
Ke Bheriya Baaten Kar Raha Hy,
To Bheriya Bola Ke Is Sy Ajeeb Baat Ye Hy Ke
Ek Sahab (Nabi Karim)
2 Medano Ke Darmiyani Nakhlistan
(Madina Pak) My Hen
Aur Tumko Guzishta w Ayenda Ki Khabren Dy Rahy Hen"
(Musnade Ahmed V3 H#11809)
Hazir Nazir
@29
40>
"Hazrat Umer Ne 1 Lashkar Ka Sardar Bana Kar
Sarya Ko Nahawend Bheja, Hazrat Umer Madiney Paak My Khutba Parhty Huey Pukarny Lagy,
Aye Saarya! Paahar Ko Lo"
(Mishkat -
Baab Wafatun Nabi P#546)
Abu Naeem,
Bahiqi,
Kanz,
Tabqatul Kubra Wagera
Mey Isi Hadees Ke Tehat Likha Hy Ke Fatiheen Ne Wapis Aakar Bataya Ke Ain Jummah Ke Khutbey Ke Waqt Hum Ne Ye Aawaz Suni Jo Fatah Ka Sabab Bani
HalanKe Hum
Madina Pak Sy
Ek Maah Ke Faasly Par They
Hazir Nazir
@30
41>
"Hazrat Aqba Bin Aamir Se Marwi;
Sarkar Karim Ne Farmaya Ke
Beshak My Tumhara Paish Ro Aur Tum Par Gawah Hun. Beshak ALLAH Ki Qasam!
My Apny Houz e Kousar Ko Is Waqt Bhi DekhRaha Hun
Aur Beshak Mujhey
Zameen Ke Khazanon Ki Kunjiyaan Ataa KarDi Gayi Hen
Aur ALLAH Ki Qasam!
Mujhey Ye Darr Nahi
Ke Mere Baad Tum Shirk Karny Lago Gey
Bulke Mujhey Is Baat Ka Darr Hy Ke Tum Dunya Ki Muhabbat My Mubtala Hojao Gy"
(Bukhari V3 H#3401)
Hazir Nazir
@31
42>
Huzoor Ne Farmaya;
"Mey Apny Bandey Ke Us Yaqeen Ke Saath Hun
Jo Wo Mujh Se Rakhta Hy
Aur Jab Wo Mera Zikr Karta Hy,
Mey UsKe Paas Hota Hun"
(Mishkaat V1 P#196)
(Bukhari - Muslim)
43>
"Sooraj Girhan Ke Waqt
Nabi Karim Ny Khuda Ki Hamd o Sana Bayan Ki
Aur Farmaya Ke Jo Cheez
(Ab Tak) Mujhy Na Dikhayi Gayi Thi Usy My Ne (Is Waqt) Apni Is Jagah Se Kharey Kharey Dekh Lya
Yahan Tak Ke
Jannato o Dozakh Ko Bhi"
(Bukhari V1 - Kitabul Ilm)
Hazir Nazir
@32
44>
Huzoor Ne Farmaya;
"Jo Mujh Par Salam Bhejey Magar ALLAH Paak Meri Rooh
Ko Mujh Par Lota Deta Hy
Yahan Tak Ke My Uske
Salam Ka Jawab Deta Hun"
(Abu Dawood)
(Musnad Imam Ahmed)
(Baheqi)
45>
Huzoor Ne Farmaya;
Jummah Ke Din Durood Ki Kasrat Karo,
Ke Mujh Par Ye Pesh Kya Jata Hy
Sahaba Ne Arz Ki;
Hamara Durood Ap Par Kesey Pesh Kya Jayega?
Farmaya;
ALLAH Ney Zameen Par
Haraam Kya Ke Wo
Nabiyon Ke Jism Ko Khaye
(Abu Dawood)
(Baheqi)
Hazir Nazir
@33
46>
Sarkar Kareem Ka Farman;
Mey Har Mo'min Ki Jaan Sey
Bhi Zyada Qareeb Hun
(Nisaai)
47>
"Huzur Raat ki Taareeki My Bhi Wesey Hi Dekhty Thy Jesey Din ki Roshni My"
(Bukhari)
(Baheqi)
48>
Hazrat Ayesha Farmati Hen;
"Hazrat Umer Ki Tadfeen Sy Qabal Bagair Chadar Aurhey Sarkar Ke Rozey Par Chali Jaaya Karti
Is Khayal Sey Ke
Meray Walid
(Hazrat Abu Bakar)
Aur Shohar
(Nabi Paak AlaihissalatuwasSalam) Hi To Yahan Hen.
Lekin Hazrat Umer Ki
Tadfeen Ke Baad Unki Hayaa
Ki Wajah Sey Apney Kapron Ko Khoob Achi Tarah
Lapait Kar Bagair Pardey Ke Kabhi Na Jaati"
(Musnad Imam Ahmed)
(Mustadrak Hakim)
Hazir Nazir
@34
49>
Muslim Sharif My
Tazkira e Mearaj My
Huzoor Karim Ne Farmaya;
1-My Surkh Teelay Ke
Qareeb Sy
Hzrat Moosa Ki Qaber Ke
Paas Sy Guzra,
Wo Kharey Ho Kar
Salaat (Namaz, Aur Ibne Hajer Makki Ny Durood o Salam kaha) Parh Rahy Thy
2-Baitul Maqddas Me My Ny Tamam Anbiya
(Bashamul Hazrat Moosa)
Ki Imamt Ki
3-My Hazrat Moosa Ko Dekh Raha Hun,
Kaano My Ungliyan Rakhy
Ba Aawaz e Buland Talbiya Parhty
1 Pahaar Sy Utar Rahy Hen
4-Mujhy Anbiyae Kiram Dikhaye Gaye,
My Ny Dekha Hazrat Moosa Qabila Shanwa Ke
Aadmiyon Ki Tarah Hen
5-Jab 6th Aasman Par Puhncha To Meri Mulaqat Hazrat Moosa se Huwi
Hazir Nazir
@35
Aqida e Haazir Nazir
Pr Aapko Quran o Hadis
Ki Roshni My
50 Sy Zaaid Dalail Pesh Kye Gaye
Ab Mufassireen w Muhaddiseen Ke Aqwaal
Mulahiza Hon
Hazir Nazir
@36
Allama Khafajee;
"Anbiya Jismani Tour Par Bashar Hoty Hen,
InKi Quwwat e Roohani Farishton Jesi Hy,
Wo Zameen Ke Mashaariq o Magaarib Ko Dekh Sakty,
Aasmaan Ki Charcharahat Sunty
Aur Hazrat Jibrail
Jab UnKe Paas Utarty
Tu UnKi Khushboo Paa Lety Hen"
(Naseemul Riyaz)
(Sharah Shifa 3/545)
Hazir Nazir
@37
Allama Qaazi Ayyaz
Aur
Mulla Ali Qaari;
"Rasoolullah Ki Rooh e Mubarak Har Muslman Ke Ghar Moujood Hoti Hy"
(Sharah Shifa Al-Riyaz 3/464)
Hazir Nazir
@38
Imam Jalaluddin Suyooti;
"Apni Ummat Ke A'maal Par Nazar Rakhna
Aur InKe Gunahon Ke Lye Maghfirat Talab Karna
Aur Apni Ummat Se Balaaoun Ke Door Ki Dua Karna Aur Zameen Me Idhar Udhar Tashreef Lana
Aur Zameen Me Barkat Dena Apni Ummat Ke Naik Shakhs Ki Wafaat Par
UsKe Janazey Me Shirkat Farmana Rasool (Sallallahu AlaihiWasallam) Ke Mashaagil Men Se Hey Jesa Ke Is Barey Men Ahadees Aur Aasaar Warid Hen"
(Intibarul Azkiyaa P#7)
Hazir Nazir
@39
Sheikh Shahab Soharwardi;
"Jesy Insan ALLAH Ko Hr Haal (Zahiri/Batini) Me Waqif Jane,
Rasool Ko Bi Hazir Nazir Jaany"
(Awariful Ma'arif P#125)
Hazir Nazir
@40
Allama Shaami;
"Imam e Azam Ke Pairokaron Me Sy Khatm e Daira e Wilayat Qutubul Wujud Syedi Muhammad Shazli Bakri
Hanfi Faqih
In Buzurgon Men Se Hen JinKo ALLAH Ne Kaainaat Me Tasarruf,Halaat Par Qudrat
Aur Gaib Ki Batoun Ke Bayan Karny Ki Taaqat Ataa Farmayi Hy"
(Durr e Mukhtar 1/41)
Hazir Nazir
@41
Imam Ghazali;
"Rasool Ko Sahaba Ke Sath Aalam e Dunya Me Ghoomny Ka Ikhtyar Haasil Hy,
Aksar Auliya Ne Nabi Ko Dekha"
(Roohul Bayan-Sura Mulk)
Hazir Nazir
@42
Imam Qustalani;
"Ualma Ne Farmaya Ke
Rasool Ki Wafat Aur Zindagi Me Koi Farq Nahi,
Ye Apni Ummat Ko Dekhty
Aur UnKe Ahwaal o Azaaim,
InKe Iradon Ko Janty Hen
Aur Ye Baat Aap Ke Nazdeek Bilkul Wazeh Hey
Is Men Kuch Posheeda Nahi
(Mawahibul Ladunya V2
- Baab Ziyarat Qabar Shariff)
Hazir Nazir
@43
Saahib e Tafseer e Saawi;
"Aalam e Roohani Ke
Nuqta e Nazar Se Rasoolullah
(SallallahuAlaihiWasallam),
Har Rasool Ki Risaalat
Aur Hazrat Adam AlaihisSalam Sy Lekar AapKe Jism Sharif Tak Tamam Halaat o Waaqiyaat Par
Hazir o Nazir Hen"
(Tafseer Saawi
- Bahawala Surah e Qasas)
Hazir Nazir
@44
Shah Waliyyullah
Muhaddis Dehalwi;
(Har Talib e Elm Ki Sanad Me Inka Name Hy)
"Is Me Koi Shakk Nahi Ke Tamam Fizaa
Rasool e Paak Ki Rooh e Anwar Se Bhari Hui Hy
Aur Aap (Sallallahu AlaihiWasallam) Ki
Rooh e Paak Is Fizaa Me Taiz Hawa Ki TarahMoujen Maar Rahi Hy"
(Fuyoozul Harmain P#28)
Hazir Nazir
@45
Sheikh Abdul Haq
Muhaddis Dehalwi;
(Tulaba Ki Asnaad Me Inka Name Bhi Laazmi Hy)
"Agar Kaha Jaaye Ke HAQ Ta'ala Ne Rasool (Sallallahu AlaihiWasallam) Ke Jism e Athar Ko Aisi Haalat O Qudrat Ataa Farmayi Hy Ke
Jis Makaan Me Chahen
Tashreef Laa Sakty Hen
Bi Ayenihi Isi Jism Ke Saath Ya Jism e MisaaliKe Saath, Aasman Par
Ya Khuwah Qabar Men,
To Ye Bilkul Durust Hy.
Har Haalat Me Qabar Se Khar Nisbat Rehti Hy"
(Madrijun Nubuwwah 2/50)
Hazir Nazir
@46
In Chand Par Iktifa Kar Ke
Moti Aqal Walon Ko
Chand Aqli Dalail Bhi Dey Dun
> Malakul Mout,
Munkar Nakeer, Shetan
Jab Hazir Nazir Ho Sakty Hen To Shirk Ki Tareef My Kya Ta'weel Hogi?
> Mearaj My Huzoor Ka
Hazrat Moosa Ko Qabar My Namaz Parhtey Dekhna,
Aqsa My Iqtida My Namaz Parhna,
6th Aasman Py Mulahiza Karna Kya Sabit Karta Hy?
> Imam Ghazali Aur
Sheikh e Muhaqqiq
Kyun Tashahhud Mey
Huzoor Ko Hazir Jan'ney Ka Hukum Detey Hen?
Hazir Nazir
@47
> Nabi Py Gharon My Salam Karo Ke Unki Arwaah Wahan Mojud,
Hum Muhabbat Walon Ke Durood Ko Sunty Aur Unhen Pehchanty Hen
(Dalailul khairat) Etc
Ko Kesy Radd Karen Gy?
> Bijli,Taar,
Telephone,Internet,
Fax,Loud Speaker,
Stall Light, Waves,
Jibrael Ki Raftar Ke Muzahiron Ki Kya Logic Hy?
Hazir Nazir
@48
Wahabi Hazraat
(Deobandi Aur Ahl e Hadas)
Kabhi
Aqeeda e HAAZiR NAAZiR
Ko SHiRK Kehty
To
Kabhi Such Unki Zuban Par Aa Hi Jata Hy
Dekhye >>Next
Hazir Nazir
@49
Ahle Hadas
Molvi Abdullah Rupari Ney Pur Zour Dalail Sy Sabit Kya Ke
Jab Qabar My Teesra Suwal Hoga Us My Lafz"Haaza" Hy
Is Sy Sabit Hua Ke
Rasoolullah Qabar My
HAZIR Hotey Hen
(Fatawa Ahle Hadis 2/138-145)
Ya'ni Jitney Bhi Loug
Inteqal Kartey Hen
Aaqa Un Sab Ki Qabro My Hazir Hoty Hen

@50
Nawab Siddiq Hasan Bhopali Wahabi;
Chahye Ke Namaz Me Nabi Ko Hazir Nazir Jaan Kar Salam Kary
(Maslakul Khaatam
-Sharah Balugul Maram 1/459)
Hazir Nazir
@51
Deobandio Ke Guru
Ashraf Thanvi Ne
Apne Par Daada FAREED
Ke Muta'alliq Likha;
Daada Ji Ek Baraat Me Ja Rahy Thy, DaketonKe Hamle Me Maary Gaye
Saathiyon Ne Waheen Dafanaya
Raat Hui To Fareed
(Murda Daada) Mithayi Ka Dabba Le Kar Apny Ghar Aaye, Biwi Se Farmaya
(Jo Bewa Hochuki)
Agar Kisi Ko Nahi Batao Gi
To Rozana Aunga
Mithayi Laun Ga.
Biwi Ki Qismat Kharab
Ke Souch Me Parh Gayi
Ke Logo Ko Malum Hoga
Ke Rozana Mithayi Aati Hy
Tou Kya Kahen Gy
ChunaChey Bata Dya
Aur Faizan Band Ho Ga
(Ashraf ul Sawaneh)
Dada Ji Marny Ke Baad Bi
Faiz Den
Magar Sarkar Ko Hazir Nazir Man'na QuboolNahi
Hazir Nazir
@52
Aetraaz :
Qur'an Me To Hukum Hy,
Nabi Ki Aawaz Se Apni Aawaaz Oonchi To Phir Zour Zour Se Durood o Salam Aur Naat Kyun Parhty Hen?
Ans:
Jisy Aetraz He, Us Ne Shayad Hazir Nazir Ka Mafhoom Nahi Samja
Agar Ye Sary Sms Wasee Qalbi Se Parh Lye Jaen To Zehan Is Aetraaz Sy Paak Hojaye
Next >>
Hazir Nazir
@53
Hum Huzoor Ko Bashariyat e Mutahira Ke Saath Hargiz Hazir Nahi Tasleem Karty
Bulke Nooraniyat o Ruhaniyat Aur Haqiqat e Mubarka Ke Sath Huzoor Ko Hazir Nazir Manty Hen
Aayat e Karima
"La Tarfaoo" Sy Hazir Nazir Ke Mas'aly Par Aetraz Ajeeb Baat Hy
1 Musalman Bacha Bhi Is Haqiqat Ko Samajh Sakta Hy
Ke Buland Awaaz Sy Bolny My Agar Huzur Ke Takleef Paney Ya Be Adabi Ka Koi Tasawwur Na Ho To Wo Rafe'a Sout Is Mumaniyat Ke Tehat Nahi Aata
Hazir Nazir
@54
Huzur Ki Hayat e Zahiri My Huzur Ke Samny Aisa Rafa e Sout Ahadees My Warid Hy.
Jo Huzur Ke Takleef Paney Aur Be Adabi Ke Shaibey Sy Paak Tha.
Jab Hayat e Zahiri My Is Qisam Ka Rafa e Sout Jaiz
To Baad Az Wafat Zahiri
Kis Tarah Najaiz Hua?
Pas Jahan Koi Cheez Be Adabi Ya Takleef Paney Ke Takhayyul Ka Mojab Ho Saky
Masalan Huzur Ke
Roza e Athar Ke Qareeb Hona, Hadees Sharif Ki Qir'at Ka Mouqa Etc.
To Aisi Soorat My
Rafa e Sout NaJaiz Hoga
Hazir Nazir
@55
Jab Aayat
"La Tarfa'oo" Nazil Hui To Sabit Bin Qais
Jinki Aawaz Buhat Buland Thi Ghar My Beth Gaye.
Puchny Par Kaha Ke
Tum Janty Ho My Tum Sab My Zyada HuzoorKi Aawaz Par Aawaz Buland Karny Wala Hun.
Is Lye Aayet Ki Ru Sy My
Ahl e Naar Sy Hun
Huzoor Ny Iske Jawab My Inke Haq My Farmaya
Ke Wo Ahl e Naar Sy Nahi
Bulke Ahl e Jannat Sy Hen
(Bukhari - Muslim)
ChunKe Sahabi Ka
Bulandi e Aawaz
Be Adabi o Ta'azzi Sy Paak Tha Is Lye Huzoor Ki Zahiri Hayaat My Bhi Bey Adabi Qarar Na Paya.
Ba'Aenihi, Huzoor Ki Mojudgi My Azaan, Takbeerat e Tashriq Aur Jang o Juloos My
Na'aron Ki Amsaal Mojud Hen
Hazir Nazir
@56
(Roohul Muani 26/124)
Par Hy Jisey
Shabbir Usmani Dewbandi ne Bhi
(Fathul Mulhim 1/270)
Par Naqal Kya.
"Phir Jehar(Buland Aawazi)
Ki Baaz Wo Soorten
(Jin My Huzoor Ki Bey Adabi Aur Ta'azzi Ka Khayal Tak Paida Na Ho)
Jinko Nahee
Qur'an Bil Ittifaq Shamil Nahi.
Hadees;
Hazrat Abbas Sy Huzoor Ny Farmaya;
As'hab e Sumra
Yani Bait e Rizwan Ko Aawaz Do To Aap Ny Bari Oonchi Aawaz Sy Farmaya,
Kahan Hen As'hab e Sumra?
Ap Barey Buland Aawaz They,
Isi Tarah
Ek Dafa Kuch Lutairey Aa Parey
To Aap Ney "Ya Sabahah" Keh Kar Pukara To
Inki Shiddat e Aawaz Ke Sabab Aurton Ke Hamal Saaqit Ho Gaye.
Hazir Nazir
@57
Aetraaz;
Jab Huzur Hazir Nazir Hen To Madine Kyun Jaaty Ho
Aur Nabi Ne Hijrat Kyun Ki?
Ans;
Iska Tafseeli Jawab Dya Chuka,
Aur
Hazir Nazir Ka Mafhum Samajhny Sy Hi Ye Saari Baat Wazeh Hojati Hy
Ye Aetraaz Goya Zaat e Ilahi Par Hy Ke;
ALLAH Har Jaga Mojud,
To Nabi Ko Meraj Pe Kun Bulaya?
Hazir Nazir
@58
Aetraaz;
Jab Huzur Hazir Hen To Namaz Ki Imamat Kyun Nahi Karaty?
Ans;
Kis Aayat Ya Hadees Me Hy
Ke Huzoor Ki Mojudgi Me
Koi Aur Namaz Na Parhaye?
Siddiqu e Akber Ne Aapki Mojudgi Me 17 Namazen Parhayin
Imam Ka Nazar Aana Bi Zaruri Hy
Aap To Hamen Dekhty Hen
Magar Hum Aapko Nahi Dekhty
Hazir Nazir
@59
Aetraaz;
Aaqa Ne Farmaya
Door Sy Parha Jany Wala Durud Mujhy Puhnchaya Jata Hy,
Aap Hazir Hoty To Durood Kyun Puhnchaya Jata?
Ans;
Hadees Me Ye Kahan Hy Ke
Me Door Walon Ko Sunta Hi Nahi,
Farishty Bi To ALLAH Ki Bargah My Hamary A'maal Le Jaaty Hen,
Kya ALLAH Ke Elm Par Bi Aetraaz Hy?
@60
"Hazir Nazir " Ke Muta'lliq Hum Ne Jaana
Tamam Suwalat Iska Mafhum Na SamajhnyKi Waja Se Paida Hoty Hen
Mera Mashwara Ye Hey Ke
Sunniyon Ko Chahye Ke SMS Ya Net Par JahilExtremists Ko Jawab De Kar Apna Waqt Zayaa Na Karen Bulke Kisi Ilm e Deen Ki Mehfil My Shirket Karen
Kyunke Hum HAQ Par Hen
Is Me Koi Shakk Nahi
Aur Hum Sarkar Ke Is Farman Par Amal Karenge
"Jaahil Ki Baat Par Khamoshi Bhi Ek Jawab Hy"
.
Aap dekhiye ki jab Wahabiyo se hum koi sawal karte hain to wo hume jawab dene ke bajay apne kaam me lage rehte hai, jabki wo batil hai,
bas wo hum logo ko uljhana chahte hain.

No comments:
Post a Comment