.
Bid'at arbi ke lafz 'Badee' se hai,
jiska matlab hai 'Naya paida karna'
Quran pak me kafi jaga par Allah ke liye ye alfaz aaye 'Badeeus Samawate Wal Ard'
yani Naye asmano aur Zameeno ka paida karne wala.
.
Is tarah Islam me kisi bhi Naye kaam ko ijaad karna, jo Nabi alaihesalam ke zamane me na hua ho, usey Bidat kehte hain.
.
Sari bidat buri nahi hoti, balki kuch achhi bhi hoti hain.
Dekhte hain Quran aur Hadees ki roshni me.
.
Bukhari me kuch ye riwayaten maujud hain, pehle inka muta'ala kar liya jaye,
.
1: Jisne hamare Deen me koi naya kaam ijaad kiya wo hum me se nahi hai.
2: Har bidat gumrahi hai, aur har Gumrahi jahannam me hai.
3: Akhirat me is ummat ke kuch aise bande honge Jo Hauze Kausar ke pas khade hone lekin Farishte unhe marte honge,
kaha jayega ye wo Log hain jinhone aap(Rasoolullah) ke baad deen me naye kaam ijad kiye the.
Bukhari ki in riwayato se pata chalta hai ki Bidat karna bura hai.
.
Lekin agar sari bidat(Naye kaam) ko bura maan liya jaye to fir aaj ki zindagi ke bahut sare kaam bidat ho jayenge jo Deen me shumar hain, Jo bhi kaam sawab ki niyat se kiya jaye wo Deen me shumar hai, ex-
1: Eiman-e-Mufassal aur Eiman-e-Mujammal padhana.
2: Madarse banwana.
3: Quran ko 30 paro me baatna.
4: Quran per e'rab(Zer zabar) lagana.
5: Quran ko kitab ki shakl me likhna.
6: Hadeeso ko Kitab ki shakl me banana,
7: Hadeeso ke Usool (Saheeh, Zaeef) banana.
8: Fajir ki azan ke akhir me 'Assalato Khairum Minan Naum' kehna ye Nabi ke zamane me nahi tha, H.Umar r.a ne shuru karaya.
9: Jamaat ke sath Taraweeh, H.Umar r.a ke zamane me shuru hui, ye bhi bidat hai. KyunkiNabi ke zamane me nahi thi.
10: Mike me namaz padhana.
11: Mobile ya internet ke zariye Deen ke msg ya tabligh karna etc.
.
Ye sare kaan Nabi alaihesalam ke waqt me nahi the, to ye sare hi kaam bidat hain,
par Kya ye sare kaam karne wala Gumrah aur jahannami hai?
Nahi.
.
Aaiye kuch aur Hadeese aur Quran ki Aayat dekhte hain.
.
Al-Quran: وَرَهْبَانِيَّةً ابْتَدَعُوهَا مَا كَتَبْنَاهَا عَلَيْهِمْ إِلَّا ابْتِغَاءَ رِضْوَانِ اللَّهِ فَمَا رَعَوْهَا حَقَّ رِعَايَتِهَا ۖ فَآتَيْنَاالَّذِينَ آمَنُوا مِنْهُمْ أَجْرَهُمْ ۖ وَكَثِيرٌ مِّنْهُمْ فَاسِقُونَ
(Sureh Hadeed:27)
Tarjuma: Humne unke peeche paighambar bheje aur Maryam ke bete Eisa ko bheja, aur unhe Injeel ata farmayi, to jin logo ne unki pairvi ki, unke dilo me shafqat aur meherbani bhar di, aur lazzat se kinarah kashi ki, aur unhone apni taraf se ek nayi baat ijaad ki, humne uska hukm nahi diya tha, lekin unhone ye apne Rab ki raza ke liye kiya hai, firjaisa ise nibhana chahiye to nibha na sake, bas jo log inme Eiman wale the to hum unhe bada ajr-o-sawab ata karenge, aur unme bahut se na-farman hain.
.
To pata chala ki agar koi naya kaam yani BidatAllah ki raza ke liye kiya jaye to uska Sawab milta hai.
.
HADEES: Jisne Deen me koi achha tariqa nikala, use sawab milega aur uspar amal karne walo ko bhi utna hi sawab milega,
aur Jisne Deen me koi bura tariqa nikala, use Gunah milega aur uspar amal karne walo ko bhi utna hi gunah milega.
(Muslim, Kitabul Ilm)
.
Scan Page: https://fbcdn-photos-a.akamaihd.net/hphotos-ak-snc6/250187_283526731762633_1032256528_n.jpg
Is Hadees se bhi pata chalta hai k Deen me Achhe kaam ki ijaad karna ek achhi bidat hai, aur iska sawab bhi milta hai,
aur Deen me bure kaam ki ijaad karna buri bidat hai, iska bahut gunah hai.
.
HADEES: H.Umar Faruq r.a ne apni khilafat me pehli bar jab Jamaat ke sath Taraweeh shuru karayi, to usey farmaya 'Ni'ma Bidato Haazehi'yani 'Kitni achhi bidat hai'.
(Bukhari, Kitabus Siyaam)
.
Scan Page https://fbcdn-photos-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash3/550835_284537218328251_541378182_n.jpg
Yahan H.Umar Faruq r.a ne masla bilkul saaf kar diya aur keh diya 'Kitni achhi bidat hai'
pata chala ki bidat achhi bhi hoti hai.
.
.
Conclusion: Tamam Ahadees-e-Saheeha se pata chalta hai ki Bidat 2 qism ki hoti hain.
1: Achhi Bidat(Bidat-e-Hasna)
2: Buri bidat(Bidat-e-Sayya)
.
Achhi bidat ka sawab milta hai jaise ki Fajir kebaad Subah Khade hokar Salat-o-Salam padhna,
Azan se pehle aur baad me Darud padhna,
Buzurgo ke Urs karana,
Milad ki mehfile qayem karna etc.
Ye sab kaamo ka sawab milta hai.
Aur Deen me koi aisa kaam ijaad karna, jisse ki deen me kharabi paida ho, use buri bidat kehte hain. Iska gunah milta hai.
.
.
To ab Wahabi log Bukhari ki sirf wo Hadees pesh karte hain ki
'Har bidat gumrahi hai, aur har gumrahi jahannam me hai'
.
To fir Aye Wahabiyo, tum Quran ki us aayat kebare me kye kahoge jisme Allah ne Bidat par sawab farmaya hai,
aur kya tum H.Umar r.a ko bhi gumrah aur Jahannami kahoge?
MaazALLAH.
Kyunki unhone khud bidat kiya aur kaha 'Kitni achhi bidat hai'.
.
.
Aap log ab tak Bidat ko samajh gaye honge.
Ki har bidat buri nahi hoti,
balki jo achha kaam ijaad kiya jaye,
wo achhi bidat hoti hai,
aur ye baat Muslim Sharif ki Hadees se bhi upar batai gayi hai.
Faltooo
ReplyDeletejahil......khulfa a rashdeen ka kaam sunaat huwa ka biddat huwa .....kya jahilu wali baat kar Raha ha.......bidat ka lafzi matlb ko mat dekh...hades ma biddat ka mafhoum ko samj........hades ma aya ha deen ma har bidat gumrahi ha..............baqi kamu ke bidat ka nhi balka deen ke bidat ke baat ho rahi ba................ab tu koi bidat deen samj k kara ga to phir vo koi deen thodi na bana ga..........
ReplyDeleteeslaya akal sa kaam lo.....deen ma ksi bidat ko mat add karo .....baqi deen ke supportive matter ma ap karo jo ho sakta ha ...jesa paki masjid......garhiya......etc
Barqati qadri ...jitne bade naam tune a ala maqam
ReplyDeleteSublul huda imam sawaleh ki kitab padh wahabi .
ReplyDeleteJanab wahabi ko samazh nahi aata k bukhari wagehra ki hadiss se hum istdlal kadte hayn k acchi bidat ka hum kya saare muslman karte hayn inko inke ghar ki khabar nahi hay .
Wahabi k liye unke mulle Ishaq madni ki clip ki link.
https://youtu.be/-jK-KcU1dMA