Total Pageviews

Abdulamin BarkaTi Qadri

Thursday, August 20, 2015

Nabi-E-Pak Sallallaho Alaihe Wasallam Ki Qabr-E-Anwar Se Tawassul Saleheen Ki Sunnat

☆QABR-E-ANWAR SE TAWASSUL SALEHEEN KI SUNNAT☆

SUBHAN ALLAH

Hazrat Abu Al Jawza Radi Allaho Ta'ala Anho Farmate Hain k Ahle Madina Ek Martaba Sakht Qahat Me Mubtala Huwe To Ahle Madina Apni Pareshani Ko Le Kar Hazrat Aisha Siddiqa Radi Allaho Ta'ala Anha k Pass Hazir Huwe
Hazrat Aisha Siddiqa Radi Allaho Ta'ala Anha Ne Farmaya k NABI-E-PAK SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM Ki Qabr-e-Anwar k Pass Jao Or Rauz-e-Pak Ki Chhat Ko Darmiyan Se Khol Do Takeh Qabr-e-Anwar Or Asman k Darmiyan Chhat Hayel Na Rahe
Logo Ne Aisa Hi Kiya To Khoob Barish Hone Lagi
Sabza Khoob Huwa Or Oont Khoob Mote Ho Gaye Zyada Charbi Hone Se Maloom Hota k Phat Padenge Or Is Saal Ka Naam Haryali Ka Saal Rakha Gaya.

》IMAM QUSTALANI, MUWAHIB-UL-LADUNIYAH, JILD 4, SAFA 276.

》DARMI SHARIF, JILD 1, HADEES 92.

》MISHKAT SHARIF, HADEES 5950.

Attached Images

  • Almuwahib1.png
  • Almuwahib.png
  • Darmi 1.png
  • Darmi.png
  • Mishkat 1.png
  • Mishkat.png

No comments:

Post a Comment