Total Pageviews

Abdulamin BarkaTi Qadri

Friday, May 8, 2015

TABBARUKAT - MUKKADDAS MAKAMAT SE TAWASSUL OR BARKAT KA BAYAN

CLICK HERE FOR POST 01 
CLICK HERE FOR POST 02

POST 03 :  TABBARUKAT - MUKKADDAS MAKAMAT SE TAWASSUL OR BARKAT KA BAYAN
Hazrat Yusuf Alaihi Salam K Kurta E Mubarak Se Tawwasul Barkat :


"Mera Yeh Kurta Le Jao Ise Mere Baap k Muuh par Daalo Unki Aankh Khul Jaygi Aur Apne Sab Ghar Waalo Ko Mere Pass Le Aao"
(Surah Yusuf Ayat 93)
Hazrat Yusuf Alaihi salam apne Bhaiyo se kehte hai mera Kurta le jaao aur Mere Baap Yakoob Alaihi salam k chehre pe daalo wajah kya thi Yakoob Alaihi Salam ki aankhe gume Yusuf Alaihi Salam ki jhudai me khoob roya karte the jis se aakho ki binayi bhi jaati rahi the uske baad aage kya hua Quran ne iske aage ka zikr kiya k wo kurte se hua kya 
"Phir Jab Khushi Sunane Waala Aaya Usne Woh Kurta Yakoob K Muuh Par Daala Ussi Wakt Uski Aankh Phir Aayi"
(Surah Yusuf Ayat 96)
Hazrat Yakoob Alaihi Salam bhi Nabi hai Yusuf Alaihi Salam bhi Nabi kya Nabio se badhkar Allah ki Tauheed ko koi samajh sakta hai Yakoob Alaihi salam chahte Dua karte Allah aankhe Ata kardeta Yusuf Alaihi Salam khud Apne Walid k haq me Misr(Egypt) se dua kardete Allah Aankho ki Binayi Ata kar deta magar Apna Kurta Mubarak deke ye Akeeda de rahe hai k Allah Waalo Se Judi Chize bhi Waseela hoti hai agar ye akeeda galat hota Allah ne Aayat nuzool kar dena tha Yusuf ye shirk hai Kurte se aankh Sahi nahi hogi magar jiski Nisbat Allah Waalo se hojaye wo bhi Allah k Nazdeek Makbool Hojati hai aur ye Shirk nahi Quran ki batayi tauheed hai .. Subhan Allah
Sabit hua k Allah Waalo se Nisbat waali chizo ko bhi Allah ne Waseela Madadgaar hona banaya hai warna apna Kurta dene ka matlab kya banta tha ??
Isi lihaj se aaj Sunni Hazraat Buzurgo se jude Tabarukkat ki tazeem o taukeer karte hai aur unhe waseela banate hai apni duao me jo kisi haal me shirk nahi hai.

Hazrat Zakaria Alaihi Salam Ka Hazrat Maryam Radi Allaho Anha k Makam e Mehraab ko Waseela Banana:


"Aur Usse Zakaria Ki Nigahbani Me Diya Jab Zakaria Uske Pass Uski Namaz Padhne Ki Jagah Jaate Uske Pass Naya Rizk Paate, Kaha Aye Maryam Ye Tere Pass Kaha Se Aaya Boli Allah K Pass Se Beshak Allah Jise Chahe Be Ginti De" - (37 ayat)
"Yaha Pukara Zakaria Ne Apne Rab Ko Bola Aye Mere Rab Mujhe Apne Pass Se De Suthri Aulad Beshak Tu Hi Hai Dua Sun Ne Waala" - (38 ayat)
"To Farishte Ne Usse Awaaz Di Aur Wo Usse Apni Namaz Ki Jagah Khada Namaz Padh Raha Tha Beshak Allah Aapko Muzda Deta Hai Yahya ka Jo Allah ki Taraf Se Ek Kalime Ki Tasdeek Karega Aur Sardaar Aur Hamesha k Liye Auraton Se Bachne Waala Aur Nabi Hamara Khasho'n Me Se " - (39 ayat)
(Surah Al Imran Ayat 37 to 39)
Hazrat Maryam Radi Allahu Anha Allah ki makbool Waliya hai Hazrat Essa Alaihisalam ki Walida maazida hai Baitul Mukkadas me Hazrat Zakariya Alaihi Salam ki nigehbaani me rahi waha ek khas jagah mukarir thi jaha Hazrat Maryam Radi Allahu Anha Namaz padhti jo Mehraab e Maryam  hai aur Allah ki jaanib se us mehrab me naya naya rizk aata thand me garmi k fal garmi me thand aur bhi tarah tarah ki karamatein nazar aati. 
Chand baatein jo kabile gaur hai Hazrat Zakariya Alaihi salam Nabi Alaihi Salam hai is se pehle bhi Baitul Mukkadas me baar baar dua maangte rahe par duaye kabool na hoti jab ye dekha k Mehrab e Maryam Radi Allahu Anha ka makaam Allah k nazdik kabool o makbool hai to Khas Mehrab E Maryam Radi Allaho Anha me jaake namaz padhi aur dua ki hai tab Allah ne dua kabool farmayi Farishte se muzda sunaya , paak aur nek aulad ki basharat farishte ko bhej sunayi k jo Nabiyo me hoga jinhe Hazrat Yahya Alaihi Salam kehte hai pata chala us khas makam me hi dua kabool hui jo Mehraab e Maryam hai.

Jin Makamat ko bhi Allah waalo se nisbat hojaye wo makam (place) bhi Ambiya Alaihi Salam ka wasila banti nazar aati hai ye faisla Quran ka hai ye koi aaj k mangadant akeeda nahi hai ye Quran hai k Allah waalo se nisbat rakhne waale Makam ko bhi Allah Qurb deke apni bargaah ka Waseela bana deta hai. 
Subhan Allah 

Jaha'n Allah k Nek bande Aur Bandiya Chand din Beth jaaye wo jagah bhi itni kabool aur makbool hojati hai to jaha Allah ka wali apne jism k saath aaram farma ho un mazarat pe jaake unke tawassul ko lena kyu kar shirk hoga.
Allah akal aur samajh ata farmaye.

TABOOT E SAKINA SE TAWASSUL BARKAT :

"Aur Unse Unke Nabi Ne Farmaya Uski Badhshahi Ki Nishani Yeh Hai k Aaye Tumhare Pass  Taboot (Sakeena) Jisme Tumhare Rab Ki Taraf Se Dilo'n Ka Chain Hai  Aur Kuch Bachi Hui Chize Hain Muazzaz Moosa Muazzaz Haroon k Tarke ki, Uthate Laynge Usse Farishte Beshak Usme Badi Nishani Hai Agar Imaan Rakhte Ho"
(Surah Al Baqrah Ayat : 248)
Is Taboot Sandook e Sakina me the kya ??
"Is Mukkadas Sandook me Hazrat Moosa Alaihi Salam ka Aasa Aur Unki Mubarak Jhootiya (Footwear) Thi Hazrat Haroon Alaihi Salam Ka Imama Sharif Suleman Alaihi Salam ki Anghooti, Tauraat k Takhtiyo k Chand Tukde Aur Mann Wa Salwa, Iske Elawa Ambiya e Kiram Alaihumusalam k tasweer wagairah saman the"
(Ref : Tafseer E Roohul Bayan Vol : 01, Pg : 382 Para 02 Surah Baqrah Ayat 248)
(Ref : Tafseer E Saavi Vol 01, Pg : 209)
(Ref : Tafseer E Jalalain Under Surah Baqrah Ayat 248)
"Bani Israel Is Sandook Ko Apne Aage Rakh K  Waseela banake dua maanga karte the to inki duaye makbool hoti thi Aur Is sandook ki barkaat se balaye musibat tal jaaya karti thi, Al garaz yeh sandook Bani Israel k liye Rehmat o barkat ka khazeena, Nusrat e khudawandi k Nuzool ka Nihayat hi Mukaddas Behtareen Zariya Tha"
(Ref : Tafseer E Roohul Bayan Vol : 01, Pg : 382 Para 02 Surah Baqrah Ayat 248)
(Ref : Tafseer E Saavi Vol 01, Pg : 209)
1) Maloom hua k Ambiya alaihi salam k tabbarukat ki kitni shan o azmat hoti hai jab Moosa Alaihi salam Haroon Alaihi salam se jude tabbaruk aur bhi bahot se tabbarukat ki azmaat o makbooliyat itni zyada hai k Allah ne unka saaf tazkira khud apne Kalam Quran e paak me bayan farmaya un tabburakat se kitni barkat li jaati hai ye bhi bayan hua to aaj hum Sarkare e Do Aalam k jude tabbaruk ka waseela le le ya unse khair o barkat ki ummed rakhe to fauran baddeen wahabi SHIRK ka fatwa lagate hai Allah o Akbar
2) In Tabbarukat ka makam itna buland hua k Allah k Masoom Farishte is sandook ko apne kandho me uthake Hazrat Shamweel Alaihisalam k darbare Nabuwat pe leke pahoonchte hai Is mubarak sandook me Allah ne un Tabarukat k liye farmaya isme DILO KA SUKOON HAI MOMINO K LIYEaur jaha ye mubarak tabarukat ho waha rehmate Ilahi ka nuzool bhi hota hai isliye Ahle Sunnah ki mazliso me tabbarukat ki jiyarat bhi rakhte hai taake Rehmat e Ilahi ki barish hojaye. Subhan Allah 
3) Jis Mubarak Sandook me Ambiya Alaihi salam ki istemal karda chiz hai wo sandook to waseela ban jaaye rehmat o barkat ka jariya ban jaaye to jaha khud Sarkar E Aalam jism e jahiri k saath tashrif farma ho to us mubarak makam Roza e Rasool me kitni khair o barkat or duaye makbool hogi..Subhan Allahpata chala ye akeeda kisi haal me haram kufr o shirk ka nahi hai balki ye to Qurani faisla hai Allah ki batayi Tauheed hai.
Huzoor Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam k Pasina  E Mubarak Se Tawwasul Barkat :
Hadees 01:
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anho Farmate hai k Nabi E Kareem ﷺ  Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha k ghar tashreef laate aur unke bistar par so jaate or wo waha na hoti Ek Din Huzoor ﷺ  tashreef laaye aur unke bistar per so gaye.. 
Wo aayi to logo ne kaha Huzoor ﷺ  aapke ghar tashrif laaye hain or aap k bistar pe so rahe hai 
Yeh Sun kar wo aayi to dekha Nabi e pak  ko pasina e mubarak aa raha hai or pasina e mubarak chamde k bistar per jama hogaya hai.
Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha ne apni Shishi Nikali aur Paseena e Mubarak usme daalni lagi.Nabi e pak  bedar hue aur farmaya aye Umme Sulaim ye kya karti ho ?
Umme Sulaim ne arz kiya Ya Rasool Allah 
ﷺ  hum apne baccho k liye aapke 'Aarka' e Mubarak k ummidwar hai Nabi e pak  ne Farmaya Tune Sach kaha  
Sahaba Huzur k aarka mubarak ko badan me mal liya karte the tamam Balao se mehfooz raha karte the"
References :
(Sahi Muslim, Kitabul Fazail, Baab - Tibbe Araqun Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam Baab No.204, Hadees :1346)
(Sunan Nasai Vol. 08, Pg : 218, Hadees : 5371)
(Musnad E Abu Yaala Vol : 06, Pg : 409, Hadees : 3769)
(Sahi Ibn E Khuzaimah Vol : 01, Pg : 142, Hadees : 281)
(Sahi Ibn E Hibban Vol : 10, Pg : 387, Hadees : 4528)
(Fathul Baari Shara E Sahi Bukhari - Imam Ibn Hazar Asqalani Vol : 06, Pg :573)
Scan Page of Sahi Muslim Sharif 


Masla : Hadees e Paak Se Sahaba e Kiram ka akeeda pata chalta hai k wo Nabi e Karim Alaihi salam k tabarukat ko jama karte aur unse Shifa ki ummid bhi rakhte the Nabi E Karim Alaihi salam ne bhi unke is amal ko pasand farmaya.
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anho ne Apni Wafat k Wakt Wasiyat bhi ki thi Mere Kafan me Wohi Khusbhu Lagayi Jaaye jisme Nabi e Akram Alaihi Salam ka Mubarak Paseena Mila ho.
Wassalam k Baal (GESU - HAIR) E Mubarak Se Tawwasul Barkat :
Hadees 02:
Hazrat ibn Seerin Radi Allahu Ta'ala Anhu Farmate Hai Ki Maine Hazrat Ubaida Se Kaha "Hamare Pass Huzoor 
ﷺ k Kuch Moo-E-(Hair) Mubarak Hain Jise Humne Hazrat Anas Radi Allahu Anho Ya Unke Ghar Waalo Haasil Kiya Hai.
Hazrat Ubaida Radi Allahu Anho Ne Farmaya - Agar Unme Se EK Moo-E-Mubarak Bhi Mere Pass Hota To Wo Duniya Aur Jo Kuch Is Dunya me Hai Un sab se kahin Zyada Mehboob Hota"
References :
[Sahi Bukhari Vol:01, Book : 4 Kitab Al Waju, Pg : 75, Hadees : 171]
[Imam Bayhaqi - Sunan Al Kubra Vol:07,Pg:107, Hadees : 13410]


Hadees 03:
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne Bayan kiya ki maine Dekha Hajjam(Barbar) Huzoor ﷺ Sar Mubarak ki Hajamat Bana Raha Tha Aur Huzoor ﷺ K Sahaba Kiram Radiallahu Anho Azmaeen Aap ﷺ k Ird Gird Ghoom rahe the aur unme se har ek ki yeh koshish thi ki Huzoor ﷺ Ka koi ek Baal Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Unme Se kisi na kisi k Haath Me Aajayen"
References :
[Sahi Muslim, Vol:04, Pg : 1812, Kitab No 43 : Kitab Al Fazail, Baab No 19 : Huzoor 
 ki logon se Karibi aur Huzoor  k Tabbarukat Se BarkatHadees : 2325]
[Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol:19, Pg:363, Hadees : 12363]
[Abd bin Humaid Vol:01,Pg:380, Hadees : 1273]
[Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 07, Pg:108, Hadees : 13411]

Hadees 04 : Israel Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Usman bin Abdullah Bin Muhab ne Kahan Mere Aadmiyo ne Mujhe Paani Katora(BOWL) leke Um Salama Radi Allaho Anha k Pass Bheja
Hazrat Israel ne 3 ungli (choti ungli se ishara kiya Jisme Huzoor E Akram Alaihi Salam k kuch Baal Mubarak the)
Usman Radi bin Abdullah Radi Allaho Anho Bayan karte hai agar koi shaks Buri Nazar ya Dusri Bimariyo me mubtela hota to Pani ka katora leke Um Salama Radi Allaho Anha k paas jata.Um Salama k pass Huzoor k Kuch Baal The aur Usme kuch Baal Laal Red the.
[Sahi Bukhari, Book 77 : Kitab Al Libas, Baab 66 , Hadees 5957]


SAIFULLAH MUJAHID E AAZAM AL ISLAM HAZRAT KHALID BIN WALEED RADI ALLAHU TA'ALA ANHO KI JUNG MOO-E-MUBARAK K LIYE :

"Hazrat Khalid Bin Waleed Radi Allahu Anho Ki Topi Me Huzoor k Chand Muqaddas Bal Siley Huey They Kisi Jung Me inki topi Sar Se Gir Pari to Aap ne Jabardast Hamla Kiya k Bahot Se Mujahideen Shaheed Hogaye Aapke lashkar waalo ne Ek Topi k liye itne shaheed hamlay ko pasand nahi kiya logon ka tana sun kar Hazrat Khalid Bin Waleed Radi Allahu Anho ne Farmaya k maine TOPI K LIYE HAMLA NAHI KIYA BALKI MERE IS HAMLE KI WAJAH THI MERI IS TOPI ME HUZOOR K MOO-E-MUBARAK (BLESS HAIR OF PROPHET) HAIN MUJHE YE ANDESHA HOGAYA K MAIN IN BARKATO SE KAHIN MAHROOM NA HOJAON AUR YE KUFFAR K HATHON ME NA PAHUCH JAAYE IS LIYE MAINE APNI JAAN PAR KHEL KAR TOPI KO UTHAKAR HI DAM LIYA"
[As Shifa Bi Tareef Huqooq Ul Mustafa Vol:02, Pg : 57]

Shaykul Islam Allama ibn Hajar Asqalani likhte hai
"Is Baat se ye pata chalta hai k ye Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam k Moo-e-Mubarak Se Barkat lena jaiz hai"
[Ibn Hajar Asqalani Fath Ul Baari Shara E Sahi Bukhari Vol:01,Pg:274]
rukat In Hadees e Paak se Chand Masail pata chalte hai
1) Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain Huzoor e Akram alaihi salam k tabbarukat ki kitni taazim karte the k Khalid Bin Waleed Radi allaho anho to jung me bhi wohi topi ki barkat se fateh paate.
2) In Tabbarukat ko apne pass rakhna khud Sahaba ki sunnat hai.
3) Allama Badrudin Aini Alaih Rehma ne Shara e Bukhari me likha hai is hadees ki shara me k Hazrat Anas Radi allaho anho ne 
Huzoor e Akram alaihi salam k Paseena e Mubarak me Mili hui Khushboo ko apne kafan me lagane ki wasiyat isliye ki thi k unka akeeda tha ki iski wajah se wo tamam takalif se mehfooz rahenge.
4) Khud Sahaba e Kiram ka mamoor raha k wo Huzoor Alaihi salam k Baal Mubarak ko Bimario se shifa dena ka waseela samajhte the warna kya jarurat thi Um Salama Radi Allaho Anha k pass jaane ki Bimar the chahte to dawa ilaaz karte Allah Se dua karte par Nabi Alaihi Salam k Moo e Mubarak ko Shifa aur Barkat ka bais samajhna Sahaba ka Akeeda hai Shifa Allah hi deta hai beshak magar wo Qadir hai bina waseela bhi de de aur chahe to waseela se dede.
4) Imam Qastalani alaih rehma ne Irshadul Qari Shara e Sahi Bukhari me likhte hai "log Huzoor Alaih salam k Moo e Mubarak ko Paani me daalte aur us paani ko is tarah se shifa hasil karte kabhi us paani se gusl kar lete kabhi pee liya karte"
pata chala k sahaba k akeeda bhi yehi tha k wo Tabbarukat ko barkat o waseela banate the. Subhan Allah

Huzoor Akram Sal Allahu Alaihi Wassalam k JHUBBE Mubarak Se Tawwasul Barkat :

Hadees :
“Hazrat Asma Binte Aboo Bakar RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Ghulaam Hazrat Abdullah Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Mujhe Hazrate Asma RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Jubba Mubarak Ke Mut’allik Bataaya Aur Farmaya :
Yah Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ka Jubba Mubarak Hai Aur Phir Unhone Ek Jubba Nikaal Kar Dikhaaya Jo Mota Dhaareedaar Kisarwaani (Kisra Ke Badshah Ki Taraf Mansoob Hai) Jubba Thaa Jis Ka Girebaan Deebaaz (Qeemti Kapde) Ka Thaa Aur Us Ke Daamanon Par Deebaaz Ke Sinjaaf (Qeemti Kapade Ki Jhaalar) The Hazrat Asma RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Farmaya :
Yah Mubarak Jubba Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Ke Paas Un Ki Wafaat Tak Mahfooz Raha, Jab Un Ki Wafaat Huee To Yah Meine Le Liya.
Yahi Wo Mubarak Jubba Hai Jise Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Pahante The.
To Ham Use Dho Kar Us Ka Paani Bimaaron Ko Pilaate Hain Aur Us Ke Zareeye Shifa Talab Ki Jaati Hai.”
References :
[Sahih Al-Muslim, Vol-03, kitabul Libas Wa Zeenah , Page-801-802 Hadees-2069]
[Aboo Dawood As-Sunan, Vol-04, Pg-49, Hadees-4054]
[Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol-02, Pg-423, Hadees-4010]
[Shuab-ul-Iman, Vol-05, Pg-141, Hadees-6108]
Sahi Muslim, pg : 809 , Hadees 2069 


1) Huzoor Alaihi salam k jism se Mas hojaye jo kapda Sahaba e Kiram Alaihi Rizwanullahi Alaihim Azmai us jhubba mubarak ko bhi Allah ki bargaah me barkat or waseela samajhte the.
2) Pata Chala k Allah k Nabi Alaihi Salam k jism e Mubarak se nisbat rakhne waali chiz bhi bando ko Shifa deti nazar aati hai.
3) Aaj jo Nam e Mustafa Sal Allahu Alaihi Wassalam k Munkir hai kya unhe Bukhari or Muslim ki ye hadeese nazar nahi aati.

Kisi Shayar ne khoob kaha hai
JO ISHK E NABI CHODH PADHTE HAI BUKHARI
AATA HAI BUKHAR UNHE BUKHARI NAHI AATI

 Waseele k talluk se BUZURGAN E DEEN ka kya akeede the wo post WASEELA AUR BUZURGO K AKEEDE post 04

No comments:

Post a Comment