Total Pageviews

Abdulamin BarkaTi Qadri

Sunday, May 17, 2015

Eid-e-Milad un Nabi manana kaisa hai? in the Quran alight ofnd Sunnah



Eid-e-Miladun NABI Manana Jaiz hai…… teen (3) Ayat me Behas Khatam:

Eid-e-Miladun NABI Sallallahu Alaihi Wasallam manana Jaizhai. Dekho na, Quran Khud kehta hai ke :

1. “Jab ALLAH ki Rehmat nazil ho to uske nazil hone pe Khushia manao”. – (10:58)

2. Aur Hamare Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam to Rehmatullil Alamin hai. -(21:107)


3. Quran to khud kehta hai ke ALLAH ke dino ko yaad karo .-(14:5) Ab ALLAH ke dino ko agar hum yaad na kare to kon karey ga?


Aur jis roz Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam aye hai, wo to Subse Behtarin din hai.


Ishiliye Olema kehte hai ke Eid - MiladunNabi Eid-e- Azam hai Aur jo bhi kahe ke Eid-Miladun-Nabi manana biddat hai ,samjle ki usne Allah ki Zaat me shirk kiya , kyonki yeh Sarasar Allah ki Nafrmani hi hai .



 Question- Eid-E-Miladun Nabi ham Kyu Manate hai?

 Answer-    ye 12 Rabiul Awwal Sharif wo Mubarak Din hai jisme Aaftab-e-Risalat ne Tulue hokar tamam Duniya ko apni Roshni se Munawwar kardiya. Farzandane Tohid iss Din ko yaad karke Dili khushi ka izhar karte hai. Sham-E-Risalat ke parwane Sarwar-E-Qaynat Ki Muqaddas Sirat, Fazail wa kamalat,Humdo Naat ke Purkaif nagmo se apne Dilo ko Munawwar karke Rub Tala ka ShukriyaKarte hai aur Apne Aaqa Ke Darbar me Dilse Durood-o-Salaam pesh karke sa’adatDarren hasil karte hai. Lekin baj aise Badnasib bhi hai jo Wiladat-e-Rasool parkhushi ki iss badi sa’adat se Mehrum hai aur Dusre Musalmano ko bhi MehrumKarne ki Koshish karte hai.
Quran-E-Muqaddas me Allah irshad farmata hai,
“Yad dilao Unhe Allah tala ke din” -: (Surah Ibrahim) Issi aayat ke tehat Hazrat Abdullah Bin Abbas farmate hai ke“Ayyamullah se Murada wo din hai jinme Allah Ta’ala ne Apne Bando par inaam aur nemato ki barish farmayi”. Aur Allah Ta’ala farmata hai “Ae Mehboob Aap Farma de Allah ke Fazal aur uski Rehmat kemilne par
chahiye ke log khub Khushi kare aur apne Rab ke Fajal ki khub
charcha kare”


-: (Surah Yunus) Toh Yakinan Rehmat-E-Aalam ki wiladat se badh kar aur kyaneamat ho sakti hai. Sahibe Tafsire Ruhool bayan farmate hai ki, “Milad SharifKarna bhi Rasool-E- Akram ki TaZim hai” -: (Jild 5, Safa 661) Beshak Milad-E-Mustfa Shab-E-Eid, Shab-E-Meraj, Shabebaratyaha tak ke Lailatul Qadra se bhi Afzal hai. Kyunki ye sub Raatein Huzoor hi keSadqe aur Tufail me Hum Musalmano ko nasib hui hai. Khushi jahir karne ka waqt Lailatul Qadra he toh Huzoor ke juhnor ka waqt Eid-E-Milad hai. Milaudun Nabika Sabut Quran-E-Pak me Para-3, Ruku-16 me bhi saf maujud hai. Jo iska inkarkarte hai wo Quran ke Munkir hai. Allah pak Musalmano ko Milad-E- Mustfa ke tufail har gumrahise mehfooz rakhe. Aur hum subko Humare Pyare Aaqa Ki Pyari Sunnato
par amalkarne ki tofik ata farmaye. Allah tala is Mubarak Din Ke Sadke aur tufail humsubki pareshaniya dur farmaye. 

Aameen

Ek Martba Durud-E-Pak padhe

» Miladun NABI Ke Sabut QUR’AN Se

1. Surah – DUHA:11

2. Surah – FAT’H:28

3. Surah – SAF:6

4. Surah – TAUBA:128

5. Surah – IMRAN:164

6. Surah – YUNUS:57/58

7. Surah – AMBIYA:107

» Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E- Nabwi Me Milaad Huyi IsmeKhud Huzoor Ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye. - (Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

» QUR’AN: Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi ParChahiye Ke Khushi Manao.
- (Tarjuma: Kanzul imaan,Surah YUNUS:58) ALLAH Ki Rehmat NABI-E-KAREEM Hai

» Khud NABE-E-PAK Ne Apne Milad Par ALLAH Ka Shukra BajaaLane Ki Talkin Farmayi Aur Targib Di
- (Muslim Jild 2,Safa 819, Nisaai Jild 2,Safa 147, BaihaqiJild 4,Safa 286)

» Hum (SAHABA) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor Ke Istiqbal KeLiye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye.
- (Bukhari Jild 1, Safa 543) Yahi Juloos-E-Milad Hai » Sahaba Aur Tabain Aur Digar Ahle Islam Ne Peer Ke Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya.
- (Abu DaawudJild-1, Safa-331)



 In Sawalo Ka Jawab Tum Duniya Me Nahi De Sakte Toh Aakhriat Me Kaisay Do Ge ?

» Tum Apni Aulad Ki Wiladat Par Khush The …
Aur Apne Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wiladat Par Khush Nahi Akhir Kyun ?

» Tum Ne Aulad Ki Khushi Me Dawat Ki Apne Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wiladat Ki (Khushi Me) Dawat Ko Bid’dat Kaha Aakhir Kyun ?

» Tum Ne Aulad Ki Shadi Par Ghar Sajaya ,Magar Jashan-E-Wiladat Pe Ghar Sajane Ko Bid’at Kaha Akhir 
Kyun ? 

» Tum Ne Har Khushi Bagair Kisi Daleel Ke Manai …. Par Wiladat-E-Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)
Manane Par Daleel Mangi Akhir Kyun ?



Jawab Hai ? …. ………………………….

Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wiladat Par Khushi Manane Ki Wajah Quraan-e-Kareem Se !

♥ Al-Quran ♥ ‘Aap Keh Dijiye Allah Ke Fazal Aur Rehmat Ke Husool Par Khushi Manao’
-: (Surah Younus : Aayat-58) ‘Aur Hum Ne Aap Ko Tamam Jahano Ke Liye Rehmat Baana Kar Bheja’ -:
 (Surah Anbiyaa : Aayat-107) 

 SAHABA bhi meelad ki tazeem kerny waly aurmanany waly they, in k hawaly yeh hain:

-Hazrat Usman ﻪﻨﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ ney fermaya "Jo milaad per aik derhum kharch kary ga usko badr k shohada jitna sawab milly ga".

-Hazrat Umer ﻪﻨﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ ney fermaya:"Jiss ney milaad ki tazeem ki us ney deen ko zinda ker dia".

-Hazrat Abu bakr ﻪﻨﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ ney fermaya:"Wo shaks jannat main mery sath hoga jis ney milaad per aik
derhum bhi kharch kia".

-Hazrat Ali ﻪﻨﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ ney fermaya:"Milaad manany wala dunia sey eman ki neimat ley ker jai ga, aur billa hisab janat main dakhilhoga".



References of Sahaba:

-(Ibn-e-Kaseer, Maulid-ul-MUSTAFA,
Page:29-30) -(Al-Mustadrak, Pg:327, vol:3)

-(Khasais Ul Qubra, Page:97, vol:1)

-(Anwar-ul-Muhammadiya, Pg:62)

-(Ibn-e-Kaseer, vol:4, Pg:321)

-(Al-Mustadrak, Vol:2, Hadees:4174)

No comments:

Post a Comment