Hazrat Sauban Radiallahu Anhu se riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya:
"Me Khtamun Nabiyyin hu. Mere bad koi Nabi nahi hoga"
(Abu Dawood,Tirmizi,Mishkat Safa 465)
Hazrat Abu Huraira Radiallahu anhu ne kaha ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya:
"Rasoolo ka silsila muz par khatam kar diya gaya".
(Bukhari,Muslim,Mishkat Safa 511)
Hazrat Irbaz ibne Sariya Radiallahu anha se riwayat he. Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya:
"Khuda ke nazdik us waqt khatmun Nabiyyin likha gaya jab ki hazrat Aadam Alayhissalam apni Gundi hui mitti me the.
(Yani unka putla us waqt tak tayyar na hua tha)
(Mishkat Safa 513)
Hazrat Abu huraira radiallaho anhu se riwayat he ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya:
is darmiyan me so raha tha maine dekha ki Zamin ke khazano ki Kujiya layi gayi aur aur mere dono hatho me rakhi gayi.
(Bukhari,Muslim,Mishkat Safa 512)
Hazrat ibne Abbas Radiallahu anhuma se riwayat he ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya:
Me subse pehle shafa'at karunga aur meri shafa'at subse pehle Kubool ki jayegi aur muze us par fakra nahi.
(Daarmi,Mishkat Safa 514)
Hazrat Jaabir ibne Sumra Radiallahu anhu ne farmaya ki maine Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ko chandni rat me dekha.
To kabhi me Huzoor ki taraf dekhta aur kabhi chand ki taraf.
Huzoor us waqt lal kapda pehne hue the.
(Aakhir maine faisla kiya ki) wah chand se badh kar Khubsoorat he
(Tirmizi,Daarmi,Mishkat safa 517)
Hazrat Anas Radiallahu anhu ne farmaya ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ka rang raushan aur chamakdar tha aur Huzoor ka pasina mubarak jaise MOTI tha. Aur kisi Diba wa Resham ke kapade ko maine Huzoor ki Mubarak Hatheliyo se Narm nahi paya aur maine koi aisa Mushk wa Ambar nahi sunghha jiski khushboo Huzoor ke Jism Mubarak ki khushboo se badh kar ho.
(Bukhari,Muslim,Mishkat Safa 516)
Hazrat Jaabir Radiallahu Anhu se Riwayat he ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam jab kisi raste se gujarte fir Huzoor ke bad jo bhi us raste se gujarta to Huzoor ke Pashna Mubarak ki Mehek se jan leta ki Huzoor idhar se tashrif le gaye he.
(Daarmi,Mishkat Safa 517)

No comments:
Post a Comment