Hazrat Anas radiallahu anhu riwayat he unhone farmaya ki makkawalo ne sayyade Aalam Sallalaho Alayhi Wasallam se kaha ki aap koi moziza dikhaye to Sarkar Akdas ne chand ke 2 Tukade farma kar unhe dikha diya yaha tak ki maklawalo ne Hira Pahad ko chand ke 2 Tukado ke bich me dekha.
(Bukhari,Muslim,Mishkat Safa 524)
Hazrat Ibne Mas'ud Radiallahu anhu se riwayat he Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ke Zamane me chand 2 tukade ho gaya.
1 tukda pahad se upar tha aur dusra tukda uske niche
(Bukhari,Muslim,Mishkat Safa 524)
Hazrat Jaabir radiallahu anhu ne farmaya ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam jab Masjid me khutba padhte to khajur ke tanaa par jo khamba ke taur par masjid me khada tha kamar laga lete fir jub Mimbar sharif Tayyar ho gaya aur Huzoor us par khutba padhne ke liye baithe to wo khamba jisse tek laga kar aap khutba farmaya karte.
Nabi ki Judai me chinkh utha aur karib tha ki wah fat jaye to Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam Mimbar sharif se utare yaha tak ki us khamba ko pakad kar apne sine se laga liya fir us khamba ne Bachche ki tarah rona aur bilbilana shuru kiya jisko tasalli dekar chup kiya jata he.
yaha tak ki us khamba ko karar hasil hua
(Bukhari,Mishkat Safa 536)
Hazrat Ibne umar radiallahu anhu ne farmaya ki hum Aaqa Alayhissalam ke sath safar kar rahe the ki 1 dihati aaya.
Jab wah Huzoor ke kareeb pohocha to aap ne usse farmaya kya tu is bat ki gawahi deta he ki "Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi aur Mohammad Sallalaho Alayhi Wasallam Allah ke bande aur uske Rasool he."
Dehati ne kaha aapki bato par mere siwa aur kaun gawahi dega?
Huzoor ne farmaya:
Ye Babul ka ped gawahi dega.
Ye farmakar aapne us ped ko bulaya. Aap wadi ke kinare the.
Wo ped zamin ko fadta hua chala yaha tak ki aap ke samne khada ho gaya.
Huzoor Alayhissalam ne usse 3 bar gawahi talab farmayi us ped ne 3 bar gawahi di.
Uske bad wo ped aapke hukm se apni jagah chala gaya.
(Daarmi,Mishkat Safa 541)
Hazrate Abdullah Radiallahu anhu ne farmaya ki Hum Mozizo ko Barkat ka sabab samazte the.
aur tum unko darane ka sabab samazte ho.
Hum 1 safar me Rasoole kareem alayhissalatu wassalam ke sath the, Pani kam ho gaya to Huzoor ne farmaya ki thoda sa bacha hua pani khoj kar lao.
To log 1 bartan me thodasa pani laye.
Huzoor ne apne hath bartan me dal diya aur uske bad farmaya:
"Barkatwale Pani ke pas jao aur Barkat Khudae Ta'ala ki tarafse he."
Bus mene katai taur par dekha ki Huzoor ki mukaddas ungliyo ki ghaiyo se pani ubal raha tha
(Bukhari Sharif Jild 1 Safa 505,Mishkat Safa 538)
Subhanallah.
Aise bohotse mozize Allah ta'ala ne Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ko ata farmaye he.
Humare site pe visit karte rahe inshallah yuhi ilm aap tak pohochaya jayega.
Aashiq-E-Rasool Logo ke liye:
"Bigadi bhi banayenge.
Jalwe bhi dikhayenge.
Ghabrao na deewano
Sarkar Bulayenge."
Dua me yad rakhe

No comments:
Post a Comment