●●► Surah Al-Nisaa,Aayat No. 113
Tarjuma: " Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka tum par bara fazal hai".
Tafseer-E-Jalal een, Page 97, main hai.
►Tarjuma: "Yaani Aahkaam sikhae, aur ILM-E-GAIB sikhaya"
IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain:
►Tarjuma: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata kar diye jo, aap nahin jaante the) YaaniEhkaam main sab, aur ILM-E-GAIB main se.
(Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)
►Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi gai, agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka na jaata???
Tafseer-E-Madar ik main hai.
►Tarjuma: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae, aur chupi huwi baaten, Dilon k Raaz batae".
(Tafseer -E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshawar)
Jaame Al Bayaan main hai.
►Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din,jo Aap Qura'an k Nuzool se pehle na jaante the".
(Tafseer-E-Tibr . Page#270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)
Talib E Dua
Abdulamin barkati
No comments:
Post a Comment